Sher on Tohfa
A selection of verses
on the idea of gift is a humble gift from us to you. Read them and share them with others to appreciate its value. Giving and taking gifts help nurture relationships, strengthen bonds, add meaning to life, and make life pleasantly livable. However, gifting between lovers has had a different dimension. You would appreciate this selection for the variety it represents on this theme of sharing and caring.
aaj bhī shāyad koī phūloñ kā tohfa bhej de
titliyāñ mañDlā rahī haiñ kāñch ke gul-dān par
aaj bhi shayad koi phulon ka tohfa bhej de
titliyan manDla rahi hain kanch ke gul-dan par
-
Tags : Phooland 1 more
aur kuchh tohfa na thā jo laate ham tere niyāz
ek do aañsū the āñkhoñ meñ so bhar laa.eñ haiñ ham
aur kuchh tohfa na tha jo late hum tere niyaz
ek do aansu the aankhon mein so bhar laen hain hum
-
Tag : Aansoo
chand alfāz ke motī haiñ mire dāman meñ
hai magar terī mohabbat kā taqāzā kuchh aur
chand alfaz ke moti hain mere daman mein
hai magar teri mohabbat ka taqaza kuchh aur
ham tohfe meñ ghaḌiyāñ to de dete haiñ
ik duuje ko vaqt nahīñ de paate haiñ
hum tohfe mein ghaDiyan to de dete hain
ek duje ko waqt nahin de pate hain
us mehrbāñ nazar kī ināyat kā shukriya
tohfa diyā hai eid pe ham ko judā.ī kā
us mehrban nazar ki inayat ka shukriya
tohfa diya hai eid pe hum ko judai ka
maiñ tohfa le ke aayā huuñ tamannāoñ ke phūloñ kā
luTāne ko bahār-e-zindagānī le ke aayā huuñ
main tohfa le ke aaya hun tamannaon ke phulon ka
luTane ko bahaar-e-zindagani le ke aaya hun
asar ye tere anfās-e-masīhā.ī kā hai 'akbar'
allahabad se lañgDā chalā lahore tak pahuñchā
asar ye tere anfas-e-masihai ka hai 'akbar'
allahabad se langDa chala lahore tak pahuncha
ka.ī tarah ke tahā.if pasand haiñ us ko
magar jo kaam yahāñ phuul se nikaltā hai
kai tarah ke tahaif pasand hain us ko
magar jo kaam yahan phul se nikalta hai
chāhiye kyā tumheñ tohfe meñ batā do varna
ham to bāzār ke bāzār uThā lā.eñge
chahiye kya tumhein tohfe mein bata do warna
hum to bazar ke bazar uTha laenge
maiñ ne bhejī thī gulāboñ kī bashārat us ko
tohfatan us ne bhī ḳhushbu-e-vafā bhejī hai
main ne bheji thi gulabon ki bashaarat us ko
tohfatan us ne bhi KHushbu-e-wafa bheji hai
tohfa ik kamsin ke liye hai
in kaliyoñ kā rañg ho halkā
tohfa ek kamsin ke liye hai
in kaliyon ka rang ho halka