Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Mirza Mohammad Taqi Hawas

1766 - 1855 | Lucknow, India

Nawab of Awadh Asif-ud-dola's cousin and a prominent poet of his time

Nawab of Awadh Asif-ud-dola's cousin and a prominent poet of his time

Sher of Mirza Mohammad Taqi Hawas

1.1K
Favorite

SORT BY

lutf-e-shab-e-mah ai dil us dam mujhe hāsil ho

ik chāñd baġhal meñ ho ik chāñd muqābil ho

lutf-e-shab-e-mah ai dil us dam mujhe hasil ho

ek chand baghal mein ho ek chand muqabil ho

ḳhafā hote the ham to minnateñ karte the aap

ḳhafā haiñ ham se vo aur ham manā sakte nahīñ

ya KHafa hote the hum to minnaten karte the aap

ya KHafa hain hum se wo aur hum mana sakte nahin

tez rakhiyo sar-e-har-ḳhār ko ai dasht-e-junūñ

shāyad aa jaa.e koī ābla-pā mere ba.ad

tez rakhiyo sar-e-har-KHar ko ai dasht-e-junun

shayad aa jae koi aabla-pa mere baad

dil meñ ik iztirāb baaqī hai

ye nishān-e-shabāb baaqī hai

dil mein ek iztirab baqi hai

ye nishan-e-shabab baqi hai

na kāfir se ḳhalvat na zāhid se ulfat

ham ik bazm meñ the ye sab se judā the

na kafir se KHalwat na zahid se ulfat

hum ek bazm mein the ye sab se juda the

sab ham-safīr chhoḌ ke tanhā chale ga.e

kunj-e-qafas meñ mujh ko giraftār dekh kar

sab ham-safir chhoD ke tanha chale gae

kunj-e-qafas mein mujh ko giraftar dekh kar

na paayā vaqt ai zāhid koī maiñ ne ibādat

shab-e-hijrāñ huī āḳhir to sub.h-e-intizār aa.ī

na paya waqt ai zahid koi main ne ibaadat ka

shab-e-hijran hui aaKHir to subh-e-intizar aai

zāhid dil na ḳhātir-e-mai-ḳhvār toḌiye

sau baar to ye kījiye sau baar toḌiye

zahid ka dil na KHatir-e-mai-KHwar toDiye

sau bar to ye kijiye sau bar toDiye

māthe pe lagā sandal vo haar pahan nikle

ham khīñch vahīñ qashqa zunnār pahan nikle

mathe pe laga sandal wo haar pahan nikle

hum khinch wahin qashqa zunnar pahan nikle

ai āftāb hādī-e-kū-e-nigār ho

aa.e bhalā kabhī to hamāre bhī kaam din

ai aaftab hadi-e-ku-e-nigar ho

aae bhala kabhi to hamare bhi kaam din

āshnā koī nazar aatā nahīñ yaañ ai 'havas'

kis ko maiñ apnā anīs-e-kunj-e-tanhā.ī karūñ

aashna koi nazar aata nahin yan ai 'hawas'

kis ko main apna anis-e-kunj-e-tanhai karun

rañg-e-gul-e-shagufta huuñ āb-e-ruḳh-e-chaman huuñ maiñ

sham-e-haram charāġh-e-dair qashqa-e-barhaman huuñ maiñ

rang-e-gul-e-shagufta hun aab-e-ruKH-e-chaman hun main

sham-e-haram charagh-e-dair qashqa-e-barhaman hun main

sad-chāk kiyā pairhan-e-gul ko sabā ne

jab vo na tirī ḳhūbī-e-poshāk ko pahuñchā

sad-chaak kiya pairhan-e-gul ko saba ne

jab wo na teri KHubi-e-poshak ko pahuncha

hamārī dekhiyo ġhaflat na samjhe vaa.e nādānī

hameñ do din ke bahlāne ko umr-e-be-madār aa.ī

hamari dekhiyo ghaflat na samjhe wae nadani

hamein do din ke bahlane ko umr-e-be-madar aai

suntā huuñ na kānoñ se na kuchh muñh se huuñ baktā

ḳhālī hai jagah mahfil-e-tasvīr meñ merī

sunta hun na kanon se na kuchh munh se hun bakta

KHali hai jagah mahfil-e-taswir mein meri

talāsh is tarah bazm-e-aish meñ hai be-nishānoñ

koī kapḌe meñ jaise zaḳhm-e-sozan nishāñ DhūñDhe

talash is tarah bazm-e-aish mein hai be-nishanon ki

koi kapDe mein jaise zaKHm-e-sozan ka nishan DhunDhe

dekheñ kyā ab ke asīrī hameñ dikhlātī hai

log kahte haiñ ki phir fasl-e-bahār aatī hai

dekhen kya ab ke asiri hamein dikhlati hai

log kahte hain ki phir fasl-e-bahaar aati hai

sahrā meñ 'havas' ḳhār-e-muġhīlāñ madad se

baare mirā ḳhuuñ har ḳhas-o-ḳhāshāk ko pahuñchā

sahra mein 'hawas' KHar-e-mughilan ki madad se

bare mera KHun har KHas-o-KHashak ko pahuncha

havas ham paar hoeñ kyūñki dariyā-e-mohabbat se

qazā ne bādbān-e-kashtī-e-tadbīr ko toḌā

hawas hum par hoen kyunki dariya-e-mohabbat se

qaza ne baadban-e-kashti-e-tadbir ko toDa

hargiz na mire mahram-e-hamrāz hue tum

ā.īne meñ apne nazar-bāz hue tum

TRANSLATION

A confidante of my secrets, you never became,

Thy ogler in the mirror, indeed you ever became.

Sagar Akbarabadi

hargiz na mere mahram-e-hamraaz hue tum

aaine mein apne hi nazar-baz hue tum

TRANSLATION

A confidante of my secrets, you never became,

Thy ogler in the mirror, indeed you ever became.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now