Sher of Mohammad Deen Taseer
jis tarah ham ne rāteñ kaaTī haiñ
us tarah ham ne din guzāre haiñ
jis tarah hum ne raaten kaTi hain
us tarah hum ne din guzare hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dāvar-e-hashr mirā nāma-e-a.amāl na dekh
is meñ kuchh parda-nashīnoñ ke bhī naam aate haiñ
dawar-e-hashr mera nama-e-amal na dekh
is mein kuchh parda-nashinon ke bhi nam aate hain
merī vafā.eñ yaad karoge
ro.o.ge fariyād karoge
meri wafaen yaad karoge
rooge fariyaad karoge
hameñ bhī dekh ki ham aarzū ke sahrā meñ
khile hue haiñ kisī zaḳhm-e-ārzū kī tarah
hamein bhi dekh ki hum aarzu ke sahra mein
khile hue hain kisi zaKHm-e-arzu ki tarah
rabt hai husn o ishq meñ bāham
ek dariyā ke do kināre haiñ
rabt hai husn o ishq mein baham
ek dariya ke do kinare hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
huzūr-e-yār bhī aañsū nikal hī aate haiñ
kuchh iḳhtilāf ke pahlū nikal hī aate haiñ
huzur-e-yar bhi aansu nikal hi aate hain
kuchh iKHtilaf ke pahlu nikal hi aate hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye Dar hai qāfile vaalo kahīñ na gum kar de
mirā hī apnā uThāyā huā ġhubār mujhe
ye Dar hai qafile walo kahin na gum kar de
mera hi apna uThaya hua ghubar mujhe
ye dalīl-e-ḳhush-dilī hai mire vāste nahīñ hai
vo dahan ki hai shagufta vo jabīñ ki hai kushāda
ye dalil-e-KHush-dili hai mere waste nahin hai
wo dahan ki hai shagufta wo jabin ki hai kushada
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo mile to be-takalluf na mile to be-irāda
na tarīq-e-āshnā.ī na rusūm-e-jām-o-bādā
TRANSLATION
When she met, she was informal, when not, it was unintentional,
Neither she knows the way to love, nor the custom of wine and bottle.
Sagar Akbarabadi
wo mile to be-takalluf na mile to be-irada
na tariq-e-ashnai na rusum-e-jam-o-baada
TRANSLATION
When she met, she was informal, when not, it was unintentional,
Neither she knows the way to love, nor the custom of wine and bottle.
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download