Sher of Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
ġham-o-karb-o-alam se duur apnī zindagī kyuuñ ho
yahī jiine kā sāmāñ haiñ to phir in meñ kamī kyuuñ ho
gham-o-karb-o-alam se dur apni zindagi kyun ho
yahi jine ka saman hain to phir in mein kami kyun ho
usī ko ham samajh lete haiñ apnā sādgī dekho
jo apne saath rāh-e-shauq meñ do gaam aatā hai
usi ko hum samajh lete hain apna sadgi dekho
jo apne sath rah-e-shauq mein do gam aata hai
ġham na apnā na ab ḳhushī apnī
ya.anī duniyā badal ga.ī apnī
gham na apna na ab KHushi apni
yani duniya badal gai apni
kahāñ rah jaa.e thak kar rah-navard-e-ġham ḳhudā jaane
hazāroñ manzileñ haiñ manzil-e-ārām aane tak
kahan rah jae thak kar rah-naward-e-gham KHuda jaane
hazaron manzilen hain manzil-e-aram aane tak
jab se fareb-e-zīst meñ aane lagā huuñ maiñ
ḳhud apnī mushkiloñ ko baḌhāne lagā huuñ maiñ
jab se fareb-e-zist mein aane laga hun main
KHud apni mushkilon ko baDhane laga hun main
jis ne jī bhar ke tajallī ko kabhī dekhā ho
koī aisā bhī tirī jalva-gah-e-nāz meñ hai
jis ne ji bhar ke tajalli ko kabhi dekha ho
koi aisa bhi teri jalwa-gah-e-naz mein hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
talāsh-e-sūrat-e-taskīñ na kar auhām-hasatī meñ
dil-e-mahzūñ bahal saktā nahīñ is naqsh-e-bātil se
talash-e-surat-e-taskin na kar auham-hasati mein
dil-e-mahzun bahal sakta nahin is naqsh-e-baatil se
ġhubār-e-zindagī meñ lailā-e-maqsūd kyā ma.anī
vo dīvāne haiñ jo is gard ko mahmil samajhte haiñ
ghubar-e-zindagi mein laila-e-maqsud kya mani
wo diwane hain jo is gard ko mahmil samajhte hain