Sher of Nasir Zaidi
maiñ be-hunar thā magar sohbat-e-hunar meñ rahā
shu.ūr baḳhshā hama-rañg mahfiloñ ne mujhe
main be-hunar tha magar sohbat-e-hunar mein raha
shuur baKHsha hama-rang mahfilon ne mujhe
haañ ye ḳhatā huī thī ki ham uTh ke chal diye
tum ne bhī to palaT ke pukārā nahīñ hameñ
han ye KHata hui thi ki hum uTh ke chal diye
tum ne bhi to palaT ke pukara nahin hamein
dekhā use to aañkh se aañsū nikal paḌe
dariyā agarche ḳhushk thā paanī tahoñ meñ thā
dekha use to aankh se aansu nikal paDe
dariya agarche KHushk tha pani tahon mein tha
raat sunsān hai galī ḳhāmosh
phir rahā hai ik ajnabī ḳhāmosh
raat sunsan hai gali KHamosh
phir raha hai ek ajnabi KHamosh
vo bhī kyā din the ki jab ishq kiyā karte the
ham jise chāhte the chuum liyā karte the
wo bhi kya din the ki jab ishq kiya karte the
hum jise chahte the chum liya karte the
koī sannāTā sā sannāTā hai
kaash tūfān uThā de koī
koi sannaTa sa sannaTa hai
kash tufan uTha de koi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo yuuñ milā hai ki jaise kabhī milā hī na thā
hamārī zaat pe jis kī ināyateñ thiiñ bahut
wo yun mila hai ki jaise kabhi mila hi na tha
hamari zat pe jis ki inayaten thin bahut
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download