Sher of Saadullah Shah
mujh sā koī jahān meñ nādān bhī na ho
kar ke jo ishq kahtā hai nuqsān bhī na ho
mujh sa koi jahan mein nadan bhi na ho
kar ke jo ishq kahta hai nuqsan bhi na ho
tum ne kaisā ye rābta rakkhā
na mile ho na fāsla rakkhā
tum ne kaisa ye rabta rakkha
na mile ho na fasla rakkha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tū ruke yā na ruke faisla tujh par chhoḌā
dil ne dar khol diye haiñ tirī āsānī ko
tu ruke ya na ruke faisla tujh par chhoDa
dil ne dar khol diye hain teri aasani ko
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aise lagtā hai ki kamzor bahut hai tū bhī
jiit kar jashn manāne kī zarūrat kyā thī
aise lagta hai ki kamzor bahut hai tu bhi
jit kar jashn manane ki zarurat kya thi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tū na rusvā ho is liye ham ne
apnī chāhat pe dā.era rakkhā
tu na ruswa ho is liye hum ne
apni chahat pe daera rakkha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
apnī socheñ safar meñ rahtī haiñ
us ko paane kī justujū dekho
apni sochen safar mein rahti hain
us ko pane ki justuju dekho
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download