Sher of Saghar Nizami
tere naġhmoñ se hai rag rag meñ tarannum paidā
ishrat-e-rūh hai zālim tirī āvāz nahīñ
tere naghmon se hai rag rag mein tarannum paida
ishrat-e-ruh hai zalim teri aawaz nahin
yahī sahbā yahī sāġhar yahī paimāna hai
chashm-e-sāqī hai ki mai-ḳhāne kā mai-ḳhāna hai
yahi sahba yahi saghar yahi paimana hai
chashm-e-saqi hai ki mai-KHane ka mai-KHana hai
aañkh tumhārī mast bhī hai aur mastī kā paimāna bhī
ek chhalakte sāġhar meñ mai bhī hai aur mai-ḳhāna bhī
aankh tumhaari mast bhi hai aur masti ka paimana bhi
ek chhalakte saghar mein mai bhi hai aur mai-KHana bhi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dil kī barbādiyoñ kā ronā kyā
aise kitne hī vāqi.āt hue
dil ki barbaadiyon ka rona kya
aise kitne hi waqiat hue
laao ik sajda karūñ ālam-e-bad-mastī meñ
log kahte haiñ ki 'sāġhar' ko ḳhudā yaad nahīñ
lao ek sajda karun aalam-e-bad-masti mein
log kahte hain ki 'saghar' ko KHuda yaad nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sajde mirī jabīñ ke nahīñ is qadar haqīr
kuchh to samajh rahā huuñ tire āstāñ ko maiñ
sajde meri jabin ke nahin is qadar haqir
kuchh to samajh raha hun tere aastan ko main
vo mirī ḳhāk-nashīnī ke maze kyā jaane
jo mirī tarah tirī raah meñ barbād nahīñ
wo meri KHak-nashini ke maze kya jaane
jo meri tarah teri rah mein barbaad nahin
DhūñDhne ko tujhe o mere na milne vaale
vo chalā hai jise apnā bhī patā yaad nahīñ
DhunDhne ko tujhe o mere na milne wale
wo chala hai jise apna bhi pata yaad nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kāfir gesū vāloñ kī raat basar yuuñ hotī hai
husn hifāzat kartā hai aur javānī sotī hai
kafir gesu walon ki raat basar yun hoti hai
husn hifazat karta hai aur jawani soti hai
ḳhirāmāñ ḳhirāmāñ mo.attar mo.attar
nasīm aa rahī hai ki vo aa rahe haiñ
KHiraman KHiraman moattar moattar
nasim aa rahi hai ki wo aa rahe hain
gul apne ġhunche apne gulsitāñ apnā bahār apnī
gavārā kyuuñ chaman meñ rah ke zulm-e-bāġhbāñ kar leñ
gul apne ghunche apne gulsitan apna bahaar apni
gawara kyun chaman mein rah ke zulm-e-baghban kar len
taḳhlīq añdheroñ se kiye ham ne ujāle
har shab ko ik aivān-e-sahar ham ne banāyā
taKHliq andheron se kiye hum ne ujale
har shab ko ek aiwan-e-sahar hum ne banaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sailāb-e-tabassum se darmān-e-jarāhat kar
TukḌe dil-e-bismil ke ālūda-e-ḳhūñ kab tak
sailab-e-tabassum se darman-e-jarahat kar
TukDe dil-e-bismil ke aaluda-e-KHun kab tak
hairat se tak rahā hai jahān-e-vafā mujhe
tum ne banā diyā hai mohabbat meñ kyā mujhe
TRANSLATION
The world of fidelity is watching me with wonder,
What have thou turned me into in love, I ponder.
Sagar Akbarabadi
hairat se tak raha hai jahan-e-wafa mujhe
tum ne bana diya hai mohabbat mein kya mujhe
TRANSLATION
The world of fidelity is watching me with wonder,
What have thou turned me into in love, I ponder.
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nazar karam kī farāvāniyoñ pe paḌtī hai
phir apne dāman-e-ḳhākī ko dekhtā huuñ maiñ
nazar karam ki farawaniyon pe paDti hai
phir apne daman-e-KHaki ko dekhta hun main
husn ne dast-e-karam khīñch liyā hai kyā ḳhuub
ab mujhe bhī havas-e-lazzat-e-āzār nahīñ
husn ne dast-e-karam khinch liya hai kya KHub
ab mujhe bhi hawas-e-lazzat-e-azar nahin
vo savāl-e-lutf par patthar na barsā.eñ to kyuuñ
un ko parvā-e-shikast-e-kāsa-e-sā.il nahīñ
wo sawal-e-lutf par patthar na barsaen to kyun
un ko parwa-e-shikast-e-kasa-e-sail nahin