Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Salam Sandelvi's Photo'

Salam Sandelvi

1919 - 2000 | Gorakhpur, India

Sher of Salam Sandelvi

797
Favorite

SORT BY

ḳhushī ke phuul khile the tumhāre saath kabhī

phir is ke ba.ad na aayā bahār mausam

KHushi ke phul khile the tumhaare sath kabhi

phir is ke baad na aaya bahaar ka mausam

shabnam ne ro ke zarā halkā to kar liyā

ġham us pūchhiye jo na aañsū bahā sake

shabnam ne ro ke ji zara halka to kar liya

gham us ka puchhiye jo na aansu baha sake

sau baar aa.ī hoñToñ pe jhūTī hañsī magar

ik baar bhī na dil se kabhī muskurā sake

sau bar aai honTon pe jhuTi hansi magar

ek bar bhi na dil se kabhi muskura sake

kaTegī kaise gul-e-nau zindagī yā-rab

ki is ġharīb ḳhānoñ meñ ghar abhī se hai

kaTegi kaise gul-e-nau ki zindagi ya-rab

ki is gharib ka KHanon mein ghar abhi se hai

bahut ummīd thī manzil pe kar chain pā.eñge

magar manzil pe jab pahuñche to nazm-e-kārvāñ badlā

bahut ummid thi manzil pe ja kar chain paenge

magar manzil pe jab pahunche to nazm-e-karwan badla

ye to ma.alūm hai un tak na sadā pahuñchegī

jaane kyā soch ke āvāz diye jaatā huuñ

ye to malum hai un tak na sada pahunchegi

jaane kya soch ke aawaz diye jata hun

hamesha duur ke jalve fareb dete haiñ

hai varna chāñd bayābāñ kisī ko kyā ma.alūm

hamesha dur ke jalwe fareb dete hain

hai warna chand bayaban kisi ko kya malum

aa.e jo chand tinke qafas meñ sabā ke saath

maiñ ne unhīñ ko apnā nasheman samajh liyā

aae jo chand tinke qafas mein saba ke sath

main ne unhin ko apna nasheman samajh liya

huī sub.h jaam khanak uThe huī shaam naġhme bikhar ga.e

vo hasīn din bhī the kis qadar jo tumhāre saath guzar ga.e

hui subh jam khanak uThe hui sham naghme bikhar gae

wo hasin din bhi the kis qadar jo tumhaare sath guzar gae

kyā isī ko bahār kahte haiñ

lāla-o-gul se ḳhuuñ Tapaktā hai

kya isi ko bahaar kahte hain

lala-o-gul se KHun Tapakta hai

bijlī giregī sehn-e-chaman meñ kahāñ kahāñ

kis shāḳh-e-gulistāñ pe mirā āshiyāñ nahīñ

bijli giregi sehn-e-chaman mein kahan kahan

kis shaKH-e-gulistan pe mera aashiyan nahin

dil dhaḌkan bhī hai un ko nāgavār

un se kuchh kahne jur.at kyā kareñ

dil ki dhaDkan bhi hai un ko nagawar

un se kuchh kahne ki jurat kya karen

rah-e-hayāt chamak uTThe kahkashāñ tarah

agar charāġh-e-mohabbat koī jalā ke chale

rah-e-hayat chamak uTThe kahkashan ki tarah

agar charagh-e-mohabbat koi jala ke chale

guloñ ke ruup meñ bikhre haiñ har taraf kāñTe

chale jo koī to dāman zarā bachā ke chale

gulon ke rup mein bikhre hain har taraf kanTe

chale jo koi to daman zara bacha ke chale

yuuñ bāġhbāñ ne mohr lagā zabān par

rūdād-e-ġham nasīb ke maare na kah sake

yun baghban ne mohr laga di zaban par

rudad-e-gham nasib ke mare na kah sake

mujh ko to ḳhūn-e-dil piinā hai

dast-e-sāqī meñ gar hai jaam to kyā

mujh ko to KHun-e-dil hi pina hai

dast-e-saqi mein gar hai jam to kya

gul-o-ġhuncha asl meñ haiñ tirī guftugū shakleñ

kabhī khul ke baat kah kabhī kar diyā ishārā

gul-o-ghuncha asl mein hain teri guftugu ki shaklen

kabhi khul ke baat kah di kabhi kar diya ishaara

chand tinkoñ ke sivā kyā thā nasheman meñ mire

barq-e-nādāñ ko samajh aa.ī bahut der ke ba.ad

chand tinkon ke siwa kya tha nasheman mein mere

barq-e-nadan ko samajh aai bahut der ke baad

hai tishna-labī lekin ham kyuuñ use zahmat deñ

apnā lahū leñ saaqī ko jagā.eñ kyā

hai tishna-labi lekin hum kyun use zahmat den

apna hi lahu pi len saqi ko jagaen kya

tīra-o-tār fazāoñ meñ jiyā huuñ ab tak

nik.hat-o-nūr ke ayyām hasrat rahī

tira-o-tar fazaon mein jiya hun ab tak

nikhat-o-nur ke ayyam ki hasrat hi rahi

matā-e-ġham mire ashkoñ tak nahīñ mahdūd

inhīñ meñ TuuTe sitāroñ ko bhī shumār karo

mata-e-gham mere ashkon hi tak nahin mahdud

inhin mein TuTe sitaron ko bhi shumar karo

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now