Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Shaanul Haq Haqqi's Photo'

Shaanul Haq Haqqi

1917 - 2005 | Karachi, Pakistan

Prominent scholar, linguist, translator and poet who rendered Oxford Dictionary into Urdu

Prominent scholar, linguist, translator and poet who rendered Oxford Dictionary into Urdu

Sher of Shaanul Haq Haqqi

baḌī talāsh se miltī hai zindagī ai dost

qazā tarah patā pūchhtī nahīñ aatī

baDi talash se milti hai zindagi ai dost

qaza ki tarah pata puchhti nahin aati

tum se ulfat ke taqāze na nibāhe jaate

varna ham ko bhī tamannā thī ki chāhe jaate

tum se ulfat ke taqaze na nibahe jate

warna hum ko bhi tamanna thi ki chahe jate

log tum se bhī sitam-pesha kahāñ hote haiñ

jo kahīñ na rakheñ aur phir apnā na kaheñ

log tum se bhi sitam-pesha kahan hote hain

jo kahin ka na rakhen aur phir apna na kahen

Recitation

Speak Now