Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Zulfeqar Ahmad Tabish

1939

Sher of Zulfeqar Ahmad Tabish

ye dar-o-dīvār par be-nām se chup-chāp saa.e

phūloñ rastoñ aur bachchoñ hifāzat chāhte haiñ

ye dar-o-diwar par be-nam se chup-chap sae

phulon raston aur bachchon ki hifazat chahte hain

vo sāneha huā thā ki bas dil dahal ga.e!

ik shab meñ saare shahr ke chehre badal ga.e

wo saneha hua tha ki bas dil dahal gae!

ek shab mein sare shahr ke chehre badal gae

kis chehra DhūñDā dhuup aur chhāñv meñ

aur ḳhvāboñ meñ rañg bhare to kis ke liye

kis ka chehra DhunDa dhup aur chhanw mein

aur KHwabon mein rang bhare to kis ke liye

ye naqsh-e-ḳhushnumā dar-asl naqsh-e-ājizī hai

ki asl-e-husn to andesha-e-bahzād meñ hai

ye naqsh-e-KHushnuma dar-asl naqsh-e-ajizi hai

ki asl-e-husn to andesha-e-bahzad mein hai

peḌoñ ghanī chhāñv aur chait hiddat thī

aur aise bhaTakne meñ anjān lazzat thī

peDon ki ghani chhanw aur chait ki hiddat thi

aur aise bhaTakne mein anjaan si lazzat thi

hamāre shahr meñ aane sūrat chāhtī haiñ

havā.eñ bāryābī ijāzat chāhtī haiñ

hamare shahr mein aane ki surat chahti hain

hawaen baryabi ki ijazat chahti hain

Recitation

Speak Now