Amir Hamza Saqib
Ghazal 91
Sher-o-Shayari 13
lahū jigar kā huā sarf-e-rañg-e-dast-e-hinā
jo saudā sar meñ thā sahrā khañgālne meñ gayā
lahu jigar ka hua sarf-e-rang-e-dast-e-hina
jo sauda sar mein tha sahra khangalne mein gaya
-
Share this
- See Ghazal
makāñ ujaaḌ thā aur lā-makāñ kī ḳhvāhish thī
so apne aap se bāhar qayām kar liyā hai
makan ujaD tha aur la-makan ki KHwahish thi
so apne aap se bahar qayam kar liya hai
-
Share this
- See Ghazal
merī barhana pusht thī koḌoñ se sabz o surḳh
gore badan pe us ke bhī niilā nishān thā
meri barhana pusht thi koDon se sabz o surKH
gore badan pe us ke bhi nila nishan tha
-
Share this
- See Ghazal
raushan alaao hote hī aayā tarañg meñ
vo qissa-go ḳhud apne meñ ik dāstān thā
raushan alao hote hi aaya tarang mein
wo qissa-go KHud apne mein ek dastan tha
-
Share this
- See Ghazal
tū aayā lauT aayā hai guzre dinoñ kā nuur
chehroñ pe apne varna to barsoñ kā zañg thā
tu aaya lauT aaya hai guzre dinon ka nur
chehron pe apne warna to barson ka zang tha
-
Share this
- See Ghazal