Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Azhar Nawaz's Photo'

Azhar Nawaz

1995 | Aligarh, India

One of the promising younger poets, Famous for writing amazing sher/couplet in simple language, highly popular among the youth

One of the promising younger poets, Famous for writing amazing sher/couplet in simple language, highly popular among the youth

Sher of Azhar Nawaz

ḳhūbsūrat hai sirf bāhar se

ye imārat bhī aadmī hai

KHubsurat hai sirf bahar se

ye imarat bhi aadmi si hai

koī kirdār adā kartā hai qīmat is

jab kahānī ko nayā moḌ diyā jaatā hai

koi kirdar ada karta hai qimat is ki

jab kahani ko naya moD diya jata hai

kisī buzdil sūrat ghar se ye bāhar nikaltā hai

mirā ġhussa kisī kamzor ke uupar nikaltā hai

kisi buzdil ki surat ghar se ye bahar nikalta hai

mera ghussa kisi kamzor ke upar nikalta hai

jo merā jhuuT hai akasr mire andar nikaltā hai

jise kam-tar samajhtā huuñ vahī behtar nikaltā hai

jo mera jhuT hai akasr mere andar nikalta hai

jise kam-tar samajhta hun wahi behtar nikalta hai

mohtaram kah ke mujhe us ne pashemān kiyā

koī pahlū na milā jab mirī rusvā.ī

mohtaram kah ke mujhe us ne pasheman kiya

koi pahlu na mila jab meri ruswai ka

chārasāzo mirā ilaaj karo

aaj kuchh dard meñ kamī hai

chaarasazo mera ilaj karo

aaj kuchh dard mein kami si hai

mujh ko har samt le ke jaatā hai

ek imkān tere hone

mujh ko har samt le ke jata hai

ek imkan tere hone ka

Recitation

Speak Now