Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Ehsan Darbhangavi

1922 - 1998 | Bihar, India

A prominent Progressive poet

A prominent Progressive poet

Sher of Ehsan Darbhangavi

shauq ke mumkināt ko donoñ aazmā chuke

tum bhī fareb khā chuke ham bhī fareb khā chuke

shauq ke mumkinat ko donon hi aazma chuke

tum bhi fareb kha chuke hum bhi fareb kha chuke

shāyad abhī baaqī hai kuchh aag mohabbat

maazī chitāoñ se uThtā hai dhuāñ 'ehsāñ'

shayad abhi baqi hai kuchh aag mohabbat ki

mazi ki chitaon se uThta hai dhuan 'ehsan'

tum is taraf se guzar chukī ho magar galī gungunā rahī hai

tumhārī pāzeb vo naġhma fazā meñ ab tak khanak rahā hai

tum is taraf se guzar chuki ho magar gali gunguna rahi hai

tumhaari pazeb ka wo naghma faza mein ab tak khanak raha hai

nazar aatī hai saarī kā.enāt-e-mai-kada raushan

ye kis ke sāġhar-e-rañgīñ se phūTī hai kiran saaqī

nazar aati hai sari kaenat-e-mai-kada raushan

ye kis ke saghar-e-rangin se phuTi hai kiran saqi

baḌī mushkiloñ se kaaTā baḌe karb se guzārā

tire ba.ad koī lamha jo milā kabhī ḳhushī

baDi mushkilon se kaTa baDe karb se guzara

tere baad koi lamha jo mila kabhi KHushi ka

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now