Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Khalid Ebadi's Photo'

Khalid Ebadi

1971 | Patna, India

Prominent journalist, known for his unique expression among post modern poets

Prominent journalist, known for his unique expression among post modern poets

Sher of Khalid Ebadi

shahr bhī dastūr vahī jañgal vaalā

khojne vaale akasr kho jaate haiñ

shahr ka bhi dastur wahi jangal wala

khojne wale hi akasr kho jate hain

kabhī kabhī chup ho jaane ḳhvāhish hotī hai

aaise meñ jab tīr-e-sitam bārish hotī hai

kabhi kabhi chup ho jaane ki KHwahish hoti hai

aaise mein jab tir-e-sitam ki barish hoti hai

abhī marne jaldī hai 'ibādī'

agar zinda rahe to phir mileñge

abhi marne ki jaldi hai 'ibaadi'

agar zinda rahe to phir milenge

zarā dard aur itnī davā.eñ

pasand aa.ī nahīñ chāragarī tak

zara sa dard aur itni dawaen

pasand aai nahin chaaragari tak

hamāre haath kaaTe rahe the

tumhāre haath se kirpān le kar

hamare hath kaTe ja rahe the

tumhaare hath se kirpan le kar

maiñ zaḳhm zaḳhm nahīñ huuñ magar masīhā.ī

mire badan meñ mirī jaan kyuuñ nahīñ rakhtī

main zaKHm zaKHm nahin hun magar masihai

mere badan mein meri jaan kyun nahin rakhti

zarā Thahro use aane do us baat bhī sun leñ

hameñ jo ilm hai go dil ko dahlāne vaalā hai

zara Thahro use aane do us ki baat bhi sun len

hamein jo ilm hai go dil ko dahlane hi wala hai

ye kaisā tanāza hai ki faisal nahīñ hotā

haq terā ziyāda hai ki hukkām tere

ye kaisa tanaza hai ki faisal nahin hota

haq tera ziyaada hai ki hukkaam ka tere

Recitation

Speak Now