Pirzada Qasim
Ghazal 51
Nazm 14
Sher-o-Shayari 6
ik sazā aur asīroñ ko sunā dī jaa.e
ya.anī ab jurm-e-asīrī kī sazā dī jaa.e
ek saza aur asiron ko suna di jae
yani ab jurm-e-asiri ki saza di jae
-
Share this
- See Ghazal
ġham se bahal rahe haiñ aap aap bahut ajiib haiñ
dard meñ Dhal rahe haiñ aap aap bahut ajiib haiñ
gham se bahal rahe hain aap aap bahut ajib hain
dard mein Dhal rahe hain aap aap bahut ajib hain
-
Share this
- See Ghazal
shahr talab kare agar tum se ilāj-e-tīragī
sāhab-e-iḳhtiyār ho aag lagā diyā karo
shahr talab kare agar tum se ilaj-e-tiragi
sahab-e-iKHtiyar ho aag laga diya karo
-
Share this
- See Ghazal
us kī ḳhvāhish hai ki ab log na ro.eñ na hañseñ
be-hisī vaqt kī āvāz banā dī jaa.e
us ki KHwahish hai ki ab log na roen na hansen
be-hisi waqt ki aawaz bana di jae
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 4
Image Shayari 2
kabhii havaa to kabhii KHaak-e-rahguzar honaa mire nasiib me.n likkhaa hai dar-ba-dar honaa agar chalo to mire saath hii chalo lekin kaThin safar se ziyaada hai ham-safar honaa udaas udaas ye diivaar-o-dar bataate hai.n ki jaise raas na ho un ko meraa ghar honaa qadam uThe bhii nahii.n aur safar tamaam hu.aa Gazab hai raah kaa itnaa bhii muKHtasar honaa ye daur-e-kam-nazaraa.n hai to phir hunar kaa ziyaa.n jo ek baar na honaa to beshtar honaa