fikr-e-hasti hai na ehsas-e-ajal
fikr-e-hastī hai na ehsās-e-ajal
ye ḳhirad hai yā dimāġhoñ kā ḳhalal
zindagī be-kashmakash miltī nahīñ
āñdhiyoñ se khel tūfānoñ meñ chal
chhā rahī haiñ ibrateñ hī ibrateñ
halqa-e-auhām-e-hastī se nikal
ye mohabbat kī rah-e-dushvār hai
Dagmagāte haiñ qadam nādāñ sañbhal
ġham se hotī hai haqīqat āshkār
muztarib maujoñ meñ khiltā hai kañval
vaqt kī āvāz sunñā chāhiye
vaqt kā farmān hotā hai aTal
ġham agar qismat meñ ho likkhā huā
'hosh' kaam aate nahīñ sa.ī-o-amal
fikr-e-hasti hai na ehsas-e-ajal
ye KHirad hai ya dimaghon ka KHalal
zindagi be-kashmakash milti nahin
aandhiyon se khel tufanon mein chal
chha rahi hain ibraten hi ibraten
halqa-e-auham-e-hasti se nikal
ye mohabbat ki rah-e-dushwar hai
Dagmagate hain qadam nadan sanbhal
gham se hoti hai haqiqat aashkar
muztarib maujon mein khilta hai kanwal
waqt ki aawaz sunna chahiye
waqt ka farman hota hai aTal
gham agar qismat mein ho likkha hua
'hosh' kaam aate nahin sai-o-amal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.