kab kaha humne ise bar-e-garan jaante hain
kab kahā ham ne ise bār-e-garāñ jānte haiñ
ham to ġham ko tire sarmāya-e-jāñ jānte haiñ
abr zulfoñ ko to aariz ko samajhte haiñ gulāb
tiir nazroñ ko to abrū ko kamāñ jānte haiñ
haiñ vahī asl meñ mīrās-e-adab ke vāris
'mīr'-o-'ġhālib' kā jo andāz-e-bayāñ jānte haiñ
vo hai mere liye āġhāz-e-safar kī sūrat
jis ko arbāb-e-ḳhirad apnā makāñ jānte haiñ
tishna-lab rah ga.e sāhil pe na jaane kitne
kis ke kaam aaya hai ye āb-e-ravāñ jānte haiñ
azmat-e-arz-e-vatan kyā hai ye ham se pūchho
is ke zarroñ ko bhī ham kāhkashāñ jānte haiñ
roz Dhaltā hai yahāñ jaam meñ insāñ kā lahū
roz haq-goī pe kaTtī hai zabāñ jānte haiñ
tangī-e-zīst pe ghabrā ke jo mar jaate haiñ
rahmat-e-rabb-e-do-ālam vo kahāñ jānte haiñ
ham se pūchhe koī neze kī anī hai kyā chiiz
sang kyā hotā hai ā.īna-garāñ jānte haiñ
ḳhāmī-e-fikr hai yā zo'm-e-basīrat hai nadīm
narm gītoñ ko bhī kuchh log fuġhāñ jānte haiñ
kab kaha hum ne ise bar-e-garan jaante hain
hum to gham ko tere sarmaya-e-jaan jaante hain
abr zulfon ko to aariz ko samajhte hain gulab
tir nazron ko to abru ko kaman jaante hain
hain wahi asl mein miras-e-adab ke waris
'mir'-o-'ghaalib' ka jo andaz-e-bayan jaante hain
wo hai mere liye aaghaz-e-safar ki surat
jis ko arbab-e-KHirad apna makan jaante hain
tishna-lab rah gae sahil pe na jaane kitne
kis ke kaam aaya hai ye aab-e-rawan jaante hain
azmat-e-arz-e-watan kya hai ye hum se puchho
is ke zarron ko bhi hum kahkashan jaante hain
roz Dhalta hai yahan jam mein insan ka lahu
roz haq-goi pe kaTti hai zaban jaante hain
tangi-e-zist pe ghabra ke jo mar jate hain
rahmat-e-rabb-e-do-alam wo kahan jaante hain
hum se puchhe koi neze ki ani hai kya chiz
sang kya hota hai aaina-garan jaante hain
KHami-e-fikr hai ya zo'm-e-basirat hai nadim
narm giton ko bhi kuchh log fughan jaante hain
- Book : سراب دشت امکاں(غزلیات) (Pg. 71)
- Author : ڈاکٹر امتیاز ندیم
- Publication : مکتبہ نعیمہ صدر بازار(مئو ناتھ بھنجن) (2020)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.