Sher of Abdul Wahab yakro
jabhī tū paan khā kar muskurāyā
tabhī dil khil gayā gul kī kalī kā
jabhi tu pan kha kar muskuraya
tabhi dil khil gaya gul ki kali ka
-
Tag : Paan
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
pyāsā mat jalā saaqī mujhe garmī siiñ hijrāñ kī
shitābī lā sharāb-e-ḳhām ham ne dil ko bhūnā hai
pyasa mat jala saqi mujhe garmi sin hijran ki
shitabi la sharab-e-KHam hum ne dil ko bhuna hai
jane dekhā so hī baurā huā hai
tire til haiñ magar kaalā dhatūrā
jane dekha so hi baura hua hai
tere til hain magar kala dhatura
jo tuuñ murġhā nahīñ hai ai zāhid
kyuuñ sahar gaah de hai uTh ke baañg
jo tun murgha nahin hai ai zahid
kyun sahar gah de hai uTh ke bang
na hove kyuuñ ke gardūñ pe sadā dil kī buland apnī
hamārī aah hai Dañkā damāme ke bajāne kā
na howe kyun ke gardun pe sada dil ki buland apni
hamari aah hai Danka damame ke bajaane ka
ḳham-e-mehrāb-e-abruvāñ ke biich
kaam āñkhoñ kā hai imāmat kā
KHam-e-mehrab-e-abruwan ke bich
kaam aankhon ka hai imamat ka
ishq ke fan niiñ huuñ maiñ audhōt
tire dar pe biThā huuñ mal ke bhabhūt
ishq ke fan nin hun main audhoot
tere dar pe biTha hun mal ke bhabhut
ishq kā tifl gir zamīñ uupar
khel sīkhā hai ḳhāk-bāzī kā
ishq ka tifl gir zamin upar
khel sikha hai KHak-bazi ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
raqībān-e-siyah-rū shahr-e-dehlī ke musāhib haiñ
gañdā naalā bhī jā kar mil rahā hai dekh jamunā kuuñ
raqiban-e-siyah-ru shahr-e-dehli ke musahib hain
ganda nala bhi ja kar mil raha hai dekh jamuna kun
kamāñ abrū nipaT shah-zor haigā
ki shāḳh-e-āshnā.ī toḌ Daalī
kaman abru nipaT shah-zor haiga
ki shaKH-e-ashnai toD Dali
jab ki pahrā hai tiiñ libās zarrīñ
ik qad-ādam huī hai aag buland
jab ki pahra hai tin libas zarrin
ek qad-adam hui hai aag buland
jigar meñ la.al ke ātish paḌī hai
magar tujh lab upar haañ kī dhaḌī hai
jigar mein lal ke aatish paDi hai
magar tujh lab upar han ki dhaDi hai