Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Abdullateef Shauq's Photo'

Abdullateef Shauq

1938 | Nepalgunj, Nepal

Abdullateef Shauq

Ghazal 16

Sher-o-Shayari 10

dard baḳhshā chain chhīnā dil ke TukḌe kar diye

haa.e kis zālim pe maiñ ne bhī bharosa kar liyā

dard baKHsha chain chhina dil ke TukDe kar diye

hae kis zalim pe main ne bhi bharosa kar liya

apnī sūrat dekhnā ho apne dil meñ dekhiye

dil duniyā meñ koī bhī aa.ina miltā nahīñ

apni surat dekhna ho apne dil mein dekhiye

dil sa duniya mein koi bhi aaina milta nahin

mujh ko kisī yazīd bai.at nahīñ qubūl

neze ye rakkho aao mirā sar bhī le chalo

mujh ko kisi yazid ki baiat nahin qubul

neze ye rakkho aao mera sar bhi le chalo

dil diyā vahshat liyā aur ḳhud ko rusvā kar liyā

muḳhtasar zindagī meñ maiñ ne kyā kyā kar liyā

dil diya wahshat liya aur KHud ko ruswa kar liya

muKHtasar si zindagi mein main ne kya kya kar liya

but yahāñ milte nahīñ haiñ ḳhudā miltā nahīñ

azm mustahkam to ho duniyā meñ kyā miltā nahīñ

but yahan milte nahin hain ya KHuda milta nahin

azm mustahkam to ho duniya mein kya milta nahin

BOOKS 6

 

Recitation

Speak Now