Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Abr Ahsani Ganauri's Photo'

Abr Ahsani Ganauri

1898 - 1973 | Sonipat, India

Sher of Abr Ahsani Ganauri

ishq meñ aur bhī dīvāna banā detī hai

merī āvāz meñ mil kar tirī āvāz mujhe

ishq mein aur bhi diwana bana deti hai

meri aawaz mein mil kar teri aawaz mujhe

vahshiyoñ ko ye sabaq detī huī aa.ī bahār

taar baaqī na rahe koī garebānoñ meñ

wahshiyon ko ye sabaq deti hui aai bahaar

tar baqi na rahe koi garebanon mein

tum kyoñ udaas ho ga.e maidān-e-hashr meñ

kah do to dil dil meñ mirī dāstāñ rahe

tum kyon udas ho gae maidan-e-hashr mein

kah do to dil ki dil mein meri dastan rahe

shāyad is baat pe lab mere siye jaate haiñ

aah ke saath nikal jaa.e na armāñ koī

shayad is baat pe lab mere siye jate hain

aah ke sath nikal jae na arman koi

palaT aatā huuñ maiñ māyūs ho kar un maqāmoñ se

jahāñ se silsila nazdīk-tar hotā hai manzil

palaT aata hun main mayus ho kar un maqamon se

jahan se silsila nazdik-tar hota hai manzil ka

āñkhoñ meñ ashk daaġh jigar meñ laboñ pe aah

sab kuchh hai paas be-sar-o-sāmāñ nahīñ haiñ ham

aankhon mein ashk dagh jigar mein labon pe aah

sab kuchh hai pas be-sar-o-saman nahin hain hum

kaun ab kashmakash-e-zīst se de mujh ko najāt

kar chukā hai mirā qātil nazar-andāz mujhe

kaun ab kashmakash-e-zist se de mujh ko najat

kar chuka hai mera qatil nazar-andaz mujhe

Recitation

Speak Now