Sher of Afzal Ali Afzal
rātoñ kī niiñd ek parī-zād le uḌī
din kā sukūn fikr-e-ma.īshat meñ kho gayā
raaton ki nind ek pari-zad le uDi
din ka sukun fikr-e-maishat mein kho gaya
ḳhāmosh āñkheñ udaas chehra ye bikhrī zulfeñ bujhā bujhā man
ki ziist jaise huī hai beva utaar Daale tamām gahne
KHamosh aankhen udas chehra ye bikhri zulfen bujha bujha man
ki zist jaise hui hai bewa utar Dale tamam gahne
samajh aatā hai ham ko dukh baḌoñ kā
ham apne ghar ke bachchoñ meñ baḌe haiñ
samajh aata hai hum ko dukh baDon ka
hum apne ghar ke bachchon mein baDe hain
chūmā thā ek din kisī gul kī jabīn ko
lahje se aaj tak mire ḳhushbū nahīñ ga.ī
chuma tha ek din kisi gul ki jabin ko
lahje se aaj tak mere KHushbu nahin gai
kuchh to kareñ ki dil ye kahīñ aur jā lage
kuchh der ke liye sahī āñkhoñ ko chain ho
kuchh to karen ki dil ye kahin aur ja lage
kuchh der ke liye sahi aankhon ko chain ho
aisī haiñ qurbateñ ki mujhī meñ basā hai vo
aise haiñ fāsle ki nahīñ rābta nasīb
aisi hain qurbaten ki mujhi mein basa hai wo
aise hain fasle ki nahin rabta nasib
ye tirī marzī hai ab chaak ghumā yā na ghumā
ḳhud ko miTTī kī tarah sauñp diyā hai maiñ ne
ye teri marzi hai ab chaak ghuma ya na ghuma
KHud ko miTTi ki tarah saunp diya hai main ne
yuuñ to vo itr-dān thā lekin ye kyā huā
TuuTā to ek samt bhī ḳhushbū nahīñ ga.ī
yun to wo itr-dan tha lekin ye kya hua
TuTa to ek samt bhi KHushbu nahin gai
be-ḳhabar road pe in bhāgte bachchoñ ko maiñ
kitnī hasrat se thakan oḌhe hue dekhtā huuñ
be-KHabar road pe in bhagte bachchon ko main
kitni hasrat se thakan oDhe hue dekhta hun
kal raat maiñ bahut hī alag sā lagā mujhe
us kī nazar ne yuuñ mirī sūrat khañgālī dost
kal raat main bahut hi alag sa laga mujhe
us ki nazar ne yun meri surat khangali dost