Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Afzal Allahabadi's Photo'

Afzal Allahabadi

1984 | Allahabad, India

Sher of Afzal Allahabadi

3.5K
Favorite

SORT BY

maiñ chāhtā thā ki us ko gulāb pesh karūñ

vo ḳhud gulāb thā us ko gulāb kyā detā

main chahta tha ki us ko gulab pesh karun

wo KHud gulab tha us ko gulab kya deta

meñ iztirāb ke aalam meñ raqs kartā rahā

kabhī ġhubār sūrat kabhī dhuāñ ban kar

mein iztirab ke aalam mein raqs karta raha

kabhi ghubar ki surat kabhi dhuan ban kar

abhī to us koī tazkira huā bhī nahīñ

abhī se bazm meñ ḳhushbū raqs jaarī hai

abhi to us ka koi tazkira hua bhi nahin

abhi se bazm mein KHushbu ka raqs jari hai

ab to har ek adākār se Dar lagtā hai

mujh ko dushman se nahīñ yaar se Dar lagtā hai

ab to har ek adakar se Dar lagta hai

mujh ko dushman se nahin yar se Dar lagta hai

vo jis ne dekhā nahīñ ishq kabhī maktab

maiñ us ke haath meñ dil kitāb kyā detā

wo jis ne dekha nahin ishq ka kabhi maktab

main us ke hath mein dil ki kitab kya deta

vo jis raah meñ maiñ ne diye jalā.e the

gayā vo shaḳhs mujhe chhoḌ kar añdhere meñ

wo jis ki rah mein main ne diye jalae the

gaya wo shaKHs mujhe chhoD kar andhere mein

ġhamoñ dhuup meñ milte haiñ sā.ebāñ ban kar

zamīñ pe rahte haiñ kuchh log āsmāñ ban kar

ghamon ki dhup mein milte hain saeban ban kar

zamin pe rahte hain kuchh log aasman ban kar

jugnū hai faqat rātoñ ke dāman meñ baserā kar

maiñ sūraj huuñ mujh se āshnā.ī kar nahīñ saktā

tu jugnu hai faqat raaton ke daman mein basera kar

main suraj hun tu mujh se aashnai kar nahin sakta

terī nisbat milī mujhe jab se

maiñ koī aarzū nahīñ kartā

teri nisbat mili mujhe jab se

main koi aarzu nahin karta

yādoñ ke nasheman ko jalāyā to nahīñ hai

ham ne tujhe is dil se bhulāyā to nahīñ hai

yaadon ke nasheman ko jalaya to nahin hai

hum ne tujhe is dil se bhulaya to nahin hai

ḳhudī daulat-e-uzmā ḳhudā ne mujh ko baḳhshī hai

qalandar huuñ maiñ shāhoñ gadā.ī kar nahīñ saktā

KHudi ki daulat-e-uzma KHuda ne mujh ko baKHshi hai

qalandar hun main shahon ki gadai kar nahin sakta

ashk āñkhoñ meñ liye āThoñ pahar dekhegā kaun

ham nahīñ hoñge to terī rahguzar dekhegā kaun

ashk aankhon mein liye aaThon pahar dekhega kaun

hum nahin honge to teri rahguzar dekhega kaun

yuuñ ilāj-e-dil bīmār kiyā jā.egā

sharbat-e-dīd se sarshār kiyā jā.egā

yun ilaj-e-dil bimar kiya jaega

sharbat-e-did se sarshaar kiya jaega

ho nahīñ paatī shā.irī 'afzal'

nazr jab tak lahū nahīñ kartā

ho nahin pati shairi 'afzal'

nazr jab tak lahu nahin karta

har naġhma-e-pur-dard har ik saaz se pahle

hañgāma bapā hotā hai āġhāz se pahle

har naghma-e-pur-dard har ek saz se pahle

hangama bapa hota hai aaghaz se pahle

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now