Sher of Afzal Khan
tū bhī saada hai kabhī chaal badaltā hī nahīñ
ham bhī saada haiñ isī chaal meñ aa jaate haiñ
tu bhi sada hai kabhi chaal badalta hi nahin
hum bhi sada hain isi chaal mein aa jate hain
bichhaḌne kā irāda hai to mujh se mashvara kar lo
mohabbat meñ koī bhī faisla zaatī nahīñ hotā
bichhaDne ka irada hai to mujh se mashwara kar lo
mohabbat mein koi bhi faisla zati nahin hota
-
Tag : Mashwara
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shikast-e-zindagī vaise bhī maut hī hai nā
tū sach batā ye mulāqāt āḳhrī hai nā
shikast-e-zindagi waise bhi maut hi hai na
tu sach bata ye mulaqat aaKHri hai na
ab jo patthar hai aadmī thā kabhī
is ko kahte haiñ intizār miyāñ
ab jo patthar hai aadmi tha kabhi
is ko kahte hain intizar miyan
itnī saarī yādoñ ke hote bhī jab dil meñ
vīrānī hotī hai to hairānī hotī hai
itni sari yaadon ke hote bhi jab dil mein
virani hoti hai to hairani hoti hai
der se aane par vo ḳhafā thā āḳhir maan gayā
aaj maiñ apne baap se milne qabristān gayā
der se aane par wo KHafa tha aaKHir man gaya
aaj main apne bap se milne qabristan gaya
logoñ ne ārām kiyā aur chhuTTī puurī kī
yakum may ko bhī mazdūroñ ne mazdūrī kī
logon ne aaram kiya aur chhuTTi puri ki
yakum may ko bhi mazduron ne mazduri ki
mujhe ronā nahīñ āvāz bhī bhārī nahīñ karnī
mohabbat kī kahānī meñ adākārī nahīñ karnī
mujhe rona nahin aawaz bhi bhaari nahin karni
mohabbat ki kahani mein adakari nahin karni
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
banā rakkhī haiñ dīvāroñ pe tasvīreñ parindoñ kī
vagarna ham to apne ghar kī vīrānī se mar jaa.eñ
bana rakkhi hain diwaron pe taswiren parindon ki
wagarna hum to apne ghar ki virani se mar jaen
maiñ ḳhud bhī yaar tujhe bhūlne ke haq meñ huuñ
magar jo biich meñ kam-baḳht shā.irī hai nā
main KHud bhi yar tujhe bhulne ke haq mein hun
magar jo bich mein kam-baKHt shairi hai na
hamārā dil zarā uktā gayā thā ghar meñ rah rah kar
yūñhī bāzār aa.e haiñ ḳharīdārī nahīñ karnī
hamara dil zara ukta gaya tha ghar mein rah rah kar
yunhi bazar aae hain KHaridari nahin karni
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nahīñ thā dhyān koī toḌte hue cigarette
maiñ tujh ko bhuul gayā chhoḌte hue cigarette
nahin tha dhyan koi toDte hue cigarette
main tujh ko bhul gaya chhoDte hue cigarette
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye mohabbat ke mahal ta.amīr karnā chhoḌ de
maiñ bhī shahzāda nahīñ huuñ tū bhī shahzādī nahīñ
ye mohabbat ke mahal tamir karna chhoD de
main bhi shahzada nahin hun tu bhi shahzadi nahin
jaane kyā kyā zulm parinde dekh ke aate haiñ
shaam Dhale peḌoñ par marsiya-ḳhvānī hotī hai
jaane kya kya zulm parinde dekh ke aate hain
sham Dhale peDon par marsiya-KHwani hoti hai
tū roz jis ke tajassus meñ aa rahā hai yahāñ
hazār baar batāyā hai vo nahīñ huuñ meñ
tu roz jis ke tajassus mein aa raha hai yahan
hazar bar bataya hai wo nahin hun mein
kisī ne ḳhvāb meñ aakar mujhe ye hukm diyā
tum apne ashk bhī bhejā karo duāoñ ke saath
kisi ne KHwab mein aakar mujhe ye hukm diya
tum apne ashk bhi bheja karo duaon ke sath
tū mujhe tañg na kar a dil-e-āvāra-mizāj
tujh ko is shahr meñ laanā hī nahīñ chāhiye thā
tu mujhe tang na kar a dil-e-awara-mizaj
tujh ko is shahr mein lana hi nahin chahiye tha
hamāre saañs bhī le kar na bach sake afzal
ye ḳhāk-dān meñ dam toḌte hue cigarette
hamare sans bhi le kar na bach sake afzal
ye KHak-dan mein dam toDte hue cigarette
ye jo kuchh log ḳhayāloñ meñ rahā karte haiñ
un kā ghar-bār bhī hotā hai nahīñ bhī hotā
ye jo kuchh log KHayalon mein raha karte hain
un ka ghar-bar bhi hota hai nahin bhi hota
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sāthiyo ab mujhe raste meñ utarnā hogā
Dūbtī naav bachāne kā nahīñ hal koī aur
sathiyo ab mujhe raste mein utarna hoga
Dubti naw bachane ka nahin hal koi aur
parinde laḌ hī paḌe jā.edād par āḳhir
shajar pe likkhā huā hai shajar barā.e-faroḳht
parinde laD hi paDe jaedad par aaKHir
shajar pe likkha hua hai shajar barae-faroKHt
-
Tag : Shajar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
Dubo rahā hai mujhe Dūbne kā ḳhauf ab tak
bhañvar ke biich huuñ dariyā ke paar hote hue
Dubo raha hai mujhe Dubne ka KHauf ab tak
bhanwar ke bich hun dariya ke par hote hue
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye kah diyā hai mire āñsuoñ ne tañg aa kar
hameñ ba-vaqt-e-zarūrat nikāliye sāhab
ye kah diya hai mere aansuon ne tang aa kar
hamein ba-waqt-e-zarurat nikaliye sahab
isī liye hameñ ehsās-e-jurm hai shāyad
abhī hamārī mohabbat na.ī na.ī hai nā
isi liye hamein ehsas-e-jurm hai shayad
abhi hamari mohabbat nai nai hai na
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tirī masnad pe koī aur nahīñ aa saktā
ye mirā dil hai koī ḳhālī asāmī to nahīñ
teri masnad pe koi aur nahin aa sakta
ye mera dil hai koi KHali asami to nahin
ye nukta ik qissa-go ne mujh ko samjhāyā
har kirdār ke andar ek kahānī hotī hai
ye nukta ek qissa-go ne mujh ko samjhaya
har kirdar ke andar ek kahani hoti hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tere jaane se zyāda haiñ na kam pahle the
ham ko lāhaq haiñ vahī ab bhī jo ġham pahle the
tere jaane se zyaada hain na kam pahle the
hum ko lahaq hain wahi ab bhi jo gham pahle the
tabhī to maiñ mohabbat kā havālātī nahīñ hotā
yahāñ apne sivā koī mulāqātī nahīñ hotā
tabhi to main mohabbat ka hawalati nahin hota
yahan apne siwa koi mulaqati nahin hota
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dālān meñ sabza hai na tālāb meñ paanī
kyuuñ koī parinda mirī dīvār pe utre
dalan mein sabza hai na talab mein pani
kyun koi parinda meri diwar pe utre
ye bhī ḳhud ko hausla dene kā hiila hai ki maiñ
uñgliyoñ se likh rahā huuñ chaar sū lā-taqnatū
ye bhi KHud ko hausla dene ka hila hai ki main
ungliyon se likh raha hun chaar su la-taqnatu
sazā-e-maut pe fariyād se to behtar hai
gale lagā ke kahūñ daar ko mubārak baad
saza-e-maut pe fariyaad se to behtar hai
gale laga ke kahun dar ko mubarak baad
bhaav taao meñ kamī beshī nahīñ ho saktī
haañ magar tujh se ḳharīdār ko nā kaise ho
bhaw tao mein kami beshi nahin ho sakti
han magar tujh se KHaridar ko na kaise ho
ik vaDera kuchh maveshī le ke baiThā hai yahāñ
gaañv kī jitnī bhī ābādī hai ābādī nahīñ
ek waDera kuchh maweshi le ke baiTha hai yahan
ganw ki jitni bhi aabaadi hai aabaadi nahin
zarā ye dūsrā misra.a durust farmā.eñ
mire makān pe likkhā hai ghar barā.e-faroḳht
zara ye dusra misra durust farmaen
mere makan pe likkha hai ghar barae-faroKHt
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
chhoḌ kar mujh ko tire sahn maiñ jā baiThā hai
paḌ ga.ī jaise tire sāya-e-dīvār maiñ jaan
chhoD kar mujh ko tere sahn main ja baiTha hai
paD gai jaise tere saya-e-diwar main jaan