Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Ahmad Faqih

1945 | Pakistan

Sher of Ahmad Faqih

vo jaatā rahā aur maiñ kuchh bol na paayā

chiḌiyoñ ne magar shor dīvār pe khīñchā

wo jata raha aur main kuchh bol na paya

chiDiyon ne magar shor sa diwar pe khincha

aaj mujhe apnī āñkhoñ se us ke qurb ḳhushbū aa.ī

merī nazar se us ne shāyad apne-āp ko dekhā hogā

aaj mujhe apni aankhon se us ke qurb ki KHushbu aai

meri nazar se us ne shayad apne-ap ko dekha hoga

ahl-e-ḳhirad ise na samajh pā.eñge 'faqīh'

kuchh mas.ale haiñ māvarā fat.h o shikast se

ahl-e-KHirad ise na samajh paenge 'faqih'

kuchh masale hain mawara fath o shikast se

yuuñ dard ne ummīd ke laḌ se mujhe bāñdhā

dariyāoñ ko jis tarah kinārā kare koī

yun dard ne ummid ke laD se mujhe bandha

dariyaon ko jis tarah kinara kare koi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now