Sher of Ahmad Jahangir
āfrīnash ke hafte meñ chhe roz tak ek tasvīr paiham banā.ī ga.ī
din ziyā-sāz hāthoñ se zāhir huā aur musavvir kī kārīgarī raat hai
aafrinash ke hafte mein chhe roz tak ek taswir paiham banai gai
din ziya-saz hathon se zahir hua aur musawwir ki karigari raat hai
ek taraf kuchh hoñT mohabbat kī raushan āyāt paḌheñ
ik saf meñ hathiyār sajā.e saare jañg-parast raheñ
ek taraf kuchh honT mohabbat ki raushan aayat paDhen
ek saf mein hathiyar sajae sare jang-parast rahen
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham faqīroñ meñ raaja kī chaukī chaḌhe kāhinoñ meñ payambar pukāre ga.e
din nikalne kā bhī vāqi.a hai koī yā abhī tak dharī kī dharī raat hai
hum faqiron mein raja ki chauki chaDhe kahinon mein payambar pukare gae
din nikalne ka bhi waqia hai koi ya abhi tak dhari ki dhari raat hai
taar kas kar koī rāgnī chheḌ de ai tavā.if aziyyat bharī raat hai
jāntī hai sarā.e kī har ūñTnī is musāfir kī ye āḳhirī raat hai
tar kas kar koi ragni chheD de ai tawaif aziyyat bhari raat hai
jaanti hai sarae ki har unTni is musafir ki ye aaKHiri raat hai
das moharram kī fāqa-shikan asr kā sar jhukā.e hue baiTh kar sochnā
chand phūloñ meñ lipTī huī fajr thī kuchh charāġhoñ kī nauhagarī raat hai
das moharram ki faqa-shikan asr ka sar jhukae hue baiTh kar sochna
chand phulon mein lipTi hui fajr thi kuchh charaghon ki nauhagari raat hai
kaifiyat ke ishāre pe tasvīr meñ chand rangoñ kī tartīb badlī ga.ī
āsmāñ zard hai aur zamīñ nīlgūñ chand kaale shajar ik harī raat hai
kaifiyat ke ishaare pe taswir mein chand rangon ki tartib badli gai
aasman zard hai aur zamin nilgun chand kale shajar ek hari raat hai
āsmānī bashārat se dahkā huā ḳhvān utre to māhaul tabdīl ho
ḳhāk-rūboñ kī bastī meñ girya-kunāñ kuchh dinoñ se nahūsat bharī raat hai
aasmani bashaarat se dahka hua KHwan utre to mahaul tabdil ho
KHak-rubon ki basti mein girya-kunan kuchh dinon se nahusat bhari raat hai
chand ghanToñ meñ sūraj nikal aa.egā tab ye ziina utar kar chalī jā.iyo
zindagī dekh aage bayābān hai sham.a gul ho ga.ī ruk arī raat hai
chand ghanTon mein suraj nikal aaega tab ye zina utar kar chali jaiyo
zindagi dekh aage bayaban hai shama gul ho gai ruk ari raat hai