Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Ahmad Ziya

Sher of Ahmad Ziya

ik maiñ huuñ ki lahroñ tarah chain nahīñ hai

ik vo hai ki ḳhāmosh samundar tarah hai

ek main hun ki lahron ki tarah chain nahin hai

ek wo hai ki KHamosh samundar ki tarah hai

hai merā chehra saikaḌoñ chehroñ ā.īna

bezār ho gayā huuñ tamāshā.iyoñ se maiñ

hai mera chehra saikaDon chehron ka aaina

bezar ho gaya hun tamashaiyon se main

bastī bastī parbat parbat vahshat hai dhuup 'ziyā'

chāroñ jānib vīrānī hai dil ik vīrāna kyā

basti basti parbat parbat wahshat ki hai dhup 'ziya'

chaaron jaanib virani hai dil ka ek virana kya

mujh ko mire vajūd se koī nikāl de

tañg aa chukā huuñ roz ke in hādsoñ se maiñ

mujh ko mere wajud se koi nikal de

tang aa chuka hun roz ke in hadson se main

is qadar pur-ḳhulūs lahja hai

us se milnā hai umr bhar jaise

is qadar pur-KHulus lahja hai

us se milna hai umr bhar jaise

na jaane kitne marāhil ke ba.ad paayā thā

vo ek lamha jo ne guzārne na diyā

na jaane kitne marahil ke baad paya tha

wo ek lamha jo tu ne guzarne na diya

nagar nagar meñ na.ī bastiyāñ basā.ī ga.iiñ

hazār chāhā magar phir bhī apnā ghar na banā

nagar nagar mein nai bastiyan basai gain

hazar chaha magar phir bhi apna ghar na bana

āñdhiyoñ zad meñ hai merā vajūd

aur maiñ dīvār tasvīr huuñ

aandhiyon ki zad mein hai mera wajud

aur main diwar ki taswir hun

Recitation

Speak Now