Sher of Akhtar Muslimi
fareb-ḳhurda hai itnā ki mere dil ko abhī
tum aa chuke ho magar intizār baaqī hai
fareb-KHurda hai itna ki mere dil ko abhi
tum aa chuke ho magar intizar baqi hai
ek hī anjām hai ai dost husn o ishq kā
sham.a bhī bujhtī hai parvānoñ ke jal jaane ke ba.ad
ek hi anjam hai ai dost husn o ishq ka
shama bhi bujhti hai parwanon ke jal jaane ke baad
iqrār-e-mohabbat to baḌī baat hai lekin
inkār-e-mohabbat kī adā aur hī kuchh hai
iqrar-e-mohabbat to baDi baat hai lekin
inkar-e-mohabbat ki ada aur hi kuchh hai
insāf ke parde meñ ye kyā zulm hai yaaro
dete ho sazā aur ḳhatā aur hī kuchh hai
insaf ke parde mein ye kya zulm hai yaro
dete ho saza aur KHata aur hi kuchh hai
mere kirdār meñ muzmar hai tumhārā kirdār
dekh kar kyuuñ mirī tasvīr ḳhafā ho tum log
mere kirdar mein muzmar hai tumhaara kirdar
dekh kar kyun meri taswir KHafa ho tum log
ḳhushī hī shart nahīñ lutf-e-zindagī ke liye
matā-e-ġham bhī zarūrī hai aadmī ke liye
KHushi hi shart nahin lutf-e-zindagi ke liye
mata-e-gham bhi zaruri hai aadmi ke liye
ajiib uljhan meñ tū ne Daalā mujhe bhī ai gardish-e-zamāna
sukūn miltā nahīñ qafas meñ na raas aatā hai āshiyāna
ajib uljhan mein tu ne Dala mujhe bhi ai gardish-e-zamana
sukun milta nahin qafas mein na ras aata hai aashiyana
ashk vo hai jo rahe aañkh meñ gauhar ban kar
aur TuuTe to bikhar jaa.e nagīnoñ kī tarah
ashk wo hai jo rahe aankh mein gauhar ban kar
aur TuTe to bikhar jae naginon ki tarah
dehāt ke basne vaale to iḳhlās ke paikar hote haiñ
ai kaash na.ī tahzīb kī rau shahroñ se na aatī gaañv meñ
dehat ke basne wale to iKHlas ke paikar hote hain
ai kash nai tahzib ki rau shahron se na aati ganw mein
jo bā-ḳhabar the vo dete rahe fareb mujhe
tirā pata jo milā ek be-ḳhabar se milā
jo ba-KHabar the wo dete rahe fareb mujhe
tera pata jo mila ek be-KHabar se mila
tumhārī bazm kī yuuñ aabrū baḌhā ke chale
piye baġhair hī ham paañv laḌkhaḌā ke chale
tumhaari bazm ki yun aabru baDha ke chale
piye baghair hi hum panw laDkhaDa ke chale
haañ ye bhī tarīqa achchhā hai tum ḳhvāb meñ milte ho mujh se
aate bhī nahīñ ġham-ḳhāne tak va.ada bhī vafā ho jaatā hai
han ye bhi tariqa achchha hai tum KHwab mein milte ho mujh se
aate bhi nahin gham-KHane tak wada bhi wafa ho jata hai
dī us ne mujh ko jurm-e-mohabbat kī vo sazā
kuchh be-qusūr log sazā māñgne lage
di us ne mujh ko jurm-e-mohabbat ki wo saza
kuchh be-qusur log saza mangne lage
mujh ko manzūr nahīñ ishq ko rusvā karnā
hai jigar chaak magar lab pe hañsī hai ai dost
mujh ko manzur nahin ishq ko ruswa karna
hai jigar chaak magar lab pe hansi hai ai dost
mire dil pe haath rakh kar mujhe dene vaale taskīñ
kahīñ dil kī dhaḌkanoñ se tujhe choT aa na jaa.e
mere dil pe hath rakh kar mujhe dene wale taskin
kahin dil ki dhaDkanon se tujhe choT aa na jae
sun ke rūdād-e-alam merī vo hañs kar bole
aur bhī koī fasāna hai tumheñ yaad ki bas
sun ke rudad-e-alam meri wo hans kar bole
aur bhi koi fasana hai tumhein yaad ki bas
thiiñ tumhārī jis pe navāzisheñ kabhī tum bhī jis pe the mehrbāñ
ye vahī hai 'aḳhtar'-e-muslimī tumheñ yaad ho ki na yaad ho
thin tumhaari jis pe nawazishen kabhi tum bhi jis pe the mehrban
ye wahi hai 'aKHtar'-e-muslimi tumhein yaad ho ki na yaad ho
sabr-o-qarār-e-dil mire jaane kahāñ chale ga.e
bichhḌe hue na phir mile aise hue judā ki bas
sabr-o-qarar-e-dil mere jaane kahan chale gae
bichhDe hue na phir mile aise hue juda ki bas
vafā karo jafā mile bhalā karo burā mile
hai riit desh desh kī chalan chalan kī baat hai
wafa karo jafa mile bhala karo bura mile
hai rit desh desh ki chalan chalan ki baat hai
har shāḳh-e-chaman hai afsurda har phuul kā chehra pazhmurda
āġhāz hī jab aisā hai to phir anjām-e-bahārāñ kyā hogā
har shaKH-e-chaman hai afsurda har phul ka chehra pazhmurda
aaghaz hi jab aisa hai to phir anjam-e-bahaaran kya hoga
rah-e-vafā meñ luTā kar matā-e-qalb-o-jigar
kiyā hai terī mohabbat kā haq adā maiñ ne
rah-e-wafa mein luTa kar mata-e-qalb-o-jigar
kiya hai teri mohabbat ka haq ada main ne
us ko bhaḌkāo na dāman kī havā.eñ de kar
sho.ala-e-ishq mire dil meñ dabā rahne do
us ko bhaDkao na daman ki hawaen de kar
shoala-e-ishq mere dil mein daba rahne do
lazzat-e-dard milī jurm-e-mohabbat meñ use
vo sazā paa.ī hai dal ne ki ḳhatā jhuum uThī
lazzat-e-dard mili jurm-e-mohabbat mein use
wo saza pai hai dal ne ki KHata jhum uThi
kuchh is tarah ke bahāroñ ne gul khilā.e haiñ
ki ab to fasl-e-bahārāñ se Dar lage hai mujhe
kuchh is tarah ke bahaaron ne gul khilae hain
ki ab to fasl-e-bahaaran se Dar lage hai mujhe