Dohe of Akhtar Nazmi
bhārī bojh pahāḌ sā kuchh halkā ho jaa.e
jab merī chintā baḌhe maañ sapne meñ aa.e
bhaari bojh pahaD sa kuchh halka ho jae
jab meri chinta baDhe man sapne mein aae
aadat se lāchār hai aadat na.ī ajiib
jis din khāyā peT bhar soyā nahīñ ġharīb
aadat se lachaar hai aadat nai ajib
jis din khaya peT bhar soya nahin gharib
chheḌ-chhāḌ kartā rahā mujh se bahut nasīb
maiñ jiitā tarkīb se haarā vahī ġharīb
chheD-chhaD karta raha mujh se bahut nasib
main jita tarkib se haara wahi gharib
lauTā gehūñ bech kar apne gaañv kisān
biTiyā guḌiyā sī lagī patnī lagī javān
lauTa gehun bech kar apne ganw kisan
biTiya guDiya si lagi patni lagi jawan
khol diye kuchh soch kar sab pinjroñ ke dvaar
ab koī panchhī nahīñ uḌne ko tayyār
khol diye kuchh soch kar sab pinjron ke dwar
ab koi panchhi nahin uDne ko tayyar
nadiyā ne mujh se kahā mat aa mere paas
paanī se bujhtī nahīñ antarman kī pyaas
nadiya ne mujh se kaha mat aa mere pas
pani se bujhti nahin antarman ki pyas
zikr vahī āThoñ pahar vahī kathā din raat
bhuul sake to bhuul jā ga.e dinoñ kī baat
zikr wahi aaThon pahar wahi katha din raat
bhul sake to bhul ja gae dinon ki baat
jīvan bhar jis ne kiye ūñche peḌ talāsh
berī par laTkī milī us chiḌiyā kī laash
jiwan bhar jis ne kiye unche peD talash
beri par laTki mili us chiDiya ki lash
yaar khisaktī jā.egī muTThī meñ se ret
ye to mumkin hī nahīñ chiḌiyā chuge na khet
yar khisakti jaegi muTThi mein se ret
ye to mumkin hi nahin chiDiya chuge na khet