Sher of Akhtar Orenvi
na mizāj-e-nāz-e-jalva kabhī pā sakīñ nigāheñ
ki ulajh ke rah ga.ī haiñ tirī zulf-e-ḳham-ba-ḳham meñ
na mizaj-e-naz-e-jalwa kabhi pa sakin nigahen
ki ulajh ke rah gai hain teri zulf-e-KHam-ba-KHam mein
maiñ muntazir huuñ terī tamannā liye hue
aa jā faroġh-e-husn kī duniyā liye hue
main muntazir hun teri tamanna liye hue
aa ja farogh-e-husn ki duniya liye hue
junūñ bhī zahmat ḳhirad bhī la.anat hai zaḳhm-e-dil kī davā mohabbat
harīm-e-jāñ meñ tavāf-e-paiham yahī hai andāz-e-āshiqāna
junun bhi zahmat KHirad bhi lanat hai zaKHm-e-dil ki dawa mohabbat
harim-e-jaan mein tawaf-e-paiham yahi hai andaz-e-ashiqana
kitne tābāñ the vo lamhāt tire pahlū meñ
do ghaḌī merī bhī firdaus minā guzrī hai
kitne taban the wo lamhat tere pahlu mein
do ghaDi meri bhi firdaus mina guzri hai
mirī aarzū kī taskīñ na karam meñ ne sitam meñ
mirā dil mudām tishna tirī rah ke pech-o-ḳham meñ
meri aarzu ki taskin na karam mein ne sitam mein
mera dil mudam tishna teri rah ke pech-o-KHam mein