Akhtar Saeedi
Ghazal 24
Sher-o-Shayari 6
zaḳhm-e-nigāh zaḳhm-e-hunar zaḳhm-e-dil ke ba.ad
ik aur zaḳhm tujh se bichhaḌ kar milā mujhe
zaKHm-e-nigah zaKHm-e-hunar zaKHm-e-dil ke baad
ek aur zaKHm tujh se bichhaD kar mila mujhe
-
Share this
- See Ghazal
mujhe hāsil kamāl-e-guftugū hai
ye maiñ huuñ yā mire lahje meñ tū hai
mujhe hasil kamal-e-guftugu hai
ye main hun ya mere lahje mein tu hai
-
Share this
- See Ghazal
jab tishnagī baḌhī to masīhā na thā koī
jab pyaas bujh ga.ī to samundar milā mujhe
jab tishnagi baDhi to masiha na tha koi
jab pyas bujh gai to samundar mila mujhe
-
Share this
- See Ghazal
ravāñ-davāñ hai zindagī charāġh ke baġhair bhī
hai mere ghar meñ raushnī charāġh ke baġhair bhī
rawan-dawan hai zindagi charagh ke baghair bhi
hai mere ghar mein raushni charagh ke baghair bhi
-
Share this
- See Ghazal