Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ali Iftikhar Jafri's Photo'

Ali Iftikhar Jafri

1969 | Lahore, Pakistan

Sher of Ali Iftikhar Jafri

niind aatī hai magar jaag rahā huuñ sar-e-ḳhvāb

aañkh lagtī hai to ye umr guzar jaanī hai

nind aati hai magar jag raha hun sar-e-KHwab

aankh lagti hai to ye umr guzar jaani hai

avvalīñ chaal se aage nahīñ sochā maiñ ne

ziist shatranj baazī thī so maiñ haar gayā

awwalin chaal se aage nahin socha main ne

zist shatranj ki bazi thi so main haar gaya

kisī aañkh taarā huā karte the ham bhī to

achānak shaam taarā nazar aayā to yaad aayā

kisi ki aankh ka tara hua karte the hum bhi to

achanak sham ka tara nazar aaya to yaad aaya

tum kisī sañg pe ab sar ko Tikā kar so jaao

kaun suntā hai shab-e-ġham fasānā sar-e-rāh

tum kisi sang pe ab sar ko Tika kar so jao

kaun sunta hai shab-e-gham ka fasana sar-e-rah

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now