Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ameen Hazin's Photo'

Ameen Hazin

1884 - 1967

Sher of Ameen Hazin

numūd-e-rañg-o-bū ne maar Daalā

usī aarzū ne maar Daalā

numud-e-rang-o-bu ne mar Dala

usi ki aarzu ne mar Dala

raste uuñch niich se vāqif to huuñ 'amīñ'

Thokar qadam qadam pe magar khā rahā huuñ maiñ

raste ki unch nich se waqif to hun 'amin'

Thokar qadam qadam pe magar kha raha hun main

tujh ko tirī aañkh se dekh rahī hai kā.enāt

baat ye raaz nahīñ apnā ḳhud ehtirām kar

tujh ko teri hi aankh se dekh rahi hai kaenat

baat ye raaz ki nahin apna KHud ehtiram kar

yuuñ dil hai sar-ba-sajdā kisī ke huzūr meñ

jaise ki ġhota-zan ho koī bahr-e-nūr meñ

yun dil hai sar-ba-sajda kisi ke huzur mein

jaise ki ghota-zan ho koi bahr-e-nur mein

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now