Anjum Manpuri
Ghazal 3
Sher-o-Shayari 5
aaj 'anjum' muskurā kar us ne phir dekhā mujhe
shikva-e-jaur-o-jafā phir bhuul jaanā hī paḌā
aaj 'anjum' muskura kar us ne phir dekha mujhe
shikwa-e-jaur-o-jafa phir bhul jaana hi paDa
-
Share this
- See Ghazal
na pūchh us kī dil-afsurdagī kī kaifiyyat
jo ġham-nasīb ḳhushī meñ bhī muskurā na sakā
na puchh us ki dil-afsurdagi ki kaifiyyat
jo gham-nasib KHushi mein bhi muskura na saka
-
Share this
- See Ghazal
ye do-dilī meñ rahā ghar na ghaaT kā 'anjum'
butoñ ko kar na sakā ḳhush ḳhudā ko pā na sakā
ye do-dili mein raha ghar na ghaT ka 'anjum'
buton ko kar na saka KHush KHuda ko pa na saka
-
Share this
- See Ghazal
kaam 'anjum' kā jo tamām kiyā ye aap ne vāqa.ī ḳhuub kiyā
kam-baḳht isī ke laa.eq thā ab aap abas pachhtāte haiñ
kaam 'anjum' ka jo tamam kiya ye aap ne waqai KHub kiya
kam-baKHt isi ke laeq tha ab aap abas pachhtate hain
-
Share this
- See Ghazal