Annkit Gautam
Ghazal 19
Sher-o-Shayari 1
rishtoñ ko jab dhuup dikhā.ī jaatī hai
cigarette se cigarette sulgā.ī jaatī hai
rishton ko jab dhup dikhai jati hai
cigarette se cigarette sulgai jati hai
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 1
rishto.n ko jab dhuup dikhaa.ii jaatii hai cigarette se cigarette sulgaa.ii jaatii hai jism hamaaraa ik aisii mil hai jis me.n a.ndhiyaaro.n se dhuup banaa.ii jaatii hai naa se us kii shakl milaane lagtaa huu.n jab us kii aavaaz sunaa.ii jaatii hai kyaa vo panne sach-much kore hote hai.n jin par ko.ii zarb lagaa.ii jaatii hai bulle-baabaa diivaano.n ko samjhaa.o apnii hastii kaam me.n laa.ii jaatii hai apnii miTTii apnaa paanii vaapas le sunte hai.n ye shai lauTaa.ii jaatii hai patthar le kar aate hai.n sab siine me.n bhaag jage to Thokar khaa.ii jaatii hai KHaamoshii se yakjaa karte hai.n KHud ko shor machaa kar aag bujhaa.ii jaatii hai hote hote raushan hotaa hai chehra jaate jaate dil se kaa.ii jaatii hai dono.n bhavo.n kii shikne.n haath baTaatii hai.n apnii tiisrii aa.nkh banaa.ii jaatii hai