Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Arshad Lateef's Photo'

Arshad Lateef

1961

Sher of Arshad Lateef

ajab kashish hai tire hone na hone meñ

gumāñ ne mujh ko haqīqat se bāñdh rakkhā hai

ajab kashish hai tere hone ya na hone mein

guman ne mujh ko haqiqat se bandh rakkha hai

koī to mo.ajaza aisā bhī ho apnī mohabbat meñ

tire inkār se iqrār sūrat nikal aa.e

koi to moajaza aisa bhi ho apni mohabbat mein

tere inkar se iqrar ki surat nikal aae

ḳhalā mas.ala muḳhtalif hai

samundar is qadar gahrā nahīñ hai

KHala ka masala hi muKHtalif hai

samundar is qadar gahra nahin hai

sabhī ta.abīr us likh rahe haiñ

kisī ne bhī use dekhā nahīñ hai

sabhi tabir us ki likh rahe hain

kisi ne bhi use dekha nahin hai

phailtī rahī hai ye duniyā

jashn-e-āvārgī manāne meñ

phailti ja rahi hai ye duniya

jashn-e-awargi manane mein

jab maiñ us aadmī se duur huā

ġham mirī zindagī se duur huā

jab main us aadmi se dur hua

gham meri zindagi se dur hua

kis ke savāl par ye dil rotā hai saarī saarī raat

kaun habīb hai mirā tere ḳhayāl ke sivā

kis ke sawal par ye dil rota hai sari sari raat

kaun habib hai mera tere KHayal ke siwa

Recitation

Speak Now