Sher of Ashfaq Amir
apnī ḳhushī se mujhe terī ḳhushī thī aziiz
tū bhī magar jaane kyuuñ mujh se ḳhafā ho gayā
apni KHushi se mujhe teri KHushi thi aziz
tu bhi magar jaane kyun mujh se KHafa ho gaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye raat aisī havā.eñ kahāñ se laatī hai
ki ḳhvāb phūlte haiñ aur zaḳhm phalte haiñ
ye raat aisi hawaen kahan se lati hai
ki KHwab phulte hain aur zaKHm phalte hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ab e'tibār pe jī chāhtā to hai lekin
purāne ḳhauf diloñ se kahāñ nikalte haiñ
ab e'tibar pe ji chahta to hai lekin
purane KHauf dilon se kahan nikalte hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye rog lagā hai ajab hameñ jo jaan bhī le kar Talā nahīñ
har ek davā be-asar ga.ī har ek duā be-asar huī
ye rog laga hai ajab hamein jo jaan bhi le kar Tala nahin
har ek dawa be-asar gai har ek dua be-asar hui
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download