Sher of Asif Jaanif
bahut hī kam ko milī haiñ mohabbateñ 'jānif'
ziyāda-tar ko to mahbūb ne du'ā dī hai
bahut hi kam ko mili hain mohabbaten 'jaanif'
ziyaada-tar ko to mahbub ne du'a di hai
maiñ roz kahīñ kho ke lagātā huuñ sadā.eñ
maiñ roz mujhe DhūñD ke laatā huuñ kahīñ se
main roz kahin kho ke lagata hun sadaen
main roz mujhe DhunD ke lata hun kahin se
hameñ banñā paḌegā alien varna mire pyāre
tujhe bhī khā.egā aadam mujhe bhī khā.egā aadam
hamein banna paDega alien warna mere pyare
tujhe bhi khaega aadam mujhe bhi khaega aadam
tū ḳhudā se bhī duur hai laḌkī
aur dil kaa.eñ kaa.eñ kar rahā hai
tu KHuda se bhi dur hai laDki
aur dil kaen kaen kar raha hai
udaas logoñ ke māthoñ ko chūmte rahnā
unhī ki vaj.h se bar-'aks ho ga.e tum log
udas logon ke mathon ko chumte rahna
unhi ki wajh se bar-'aks ho gae tum log
ye kaise log tire ās-pās ghūmte haiñ
inheñ to dekh ke merā dimāġh ghūmtā hai
ye kaise log tere aas-pas ghumte hain
inhen to dekh ke mera dimagh ghumta hai
kaun huuñ maiñ mujhe nahīñ mā'lūm
kaun ho tum patā lagā rahā huuñ
kaun hun main mujhe nahin ma'lum
kaun ho tum pata laga raha hun
hijr kī jang kā sipāhī huuñ
laḌ rahā huuñ tire firāq se maiñ
hijr ki jang ka sipahi hun
laD raha hun tere firaq se main
bahisht kyā hai kisī ke liye nahīñ mā'lūm
mire liye tirī āġhosh hī hai ḳhuld-e-barīñ
bahisht kya hai kisi ke liye nahin ma'lum
mere liye teri aaghosh hi hai KHuld-e-barin
ek hī zehn hai hamāre paas
aur haiñ is pe kā.enāteñ savār
ek hi zehn hai hamare pas
aur hain is pe kaenaten sawar
maiñ tumhāre baġhair aisā huuñ
jis tarah diin hai nabī ke baġhair
main tumhaare baghair aisa hun
jis tarah din hai nabi ke baghair
mirā sab kuchh ho tum lekin yahāñ par
ḳhudā sab kuchh nahīñ detā kisī ko
mera sab kuchh ho tum lekin yahan par
KHuda sab kuchh nahin deta kisi ko