Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ata ul Haq Qasmi's Photo'

Ata ul Haq Qasmi

1943 | Lahore, Pakistan

Prominent poet, prose writer and columnist, known for his humorous qitas and essays; worked on important positions in the government of Pakistan

Prominent poet, prose writer and columnist, known for his humorous qitas and essays; worked on important positions in the government of Pakistan

Sher of Ata ul Haq Qasmi

use ab bhuul jaane irāda kar liyā hai

bharosa ġhāliban ḳhud par ziyāda kar liyā hai

use ab bhul jaane ka irada kar liya hai

bharosa ghaaliban KHud par ziyaada kar liya hai

jis ḳhātir maiñ bhulā baiThā thā apne aap ko

ab usī ke bhuul jaane hunar bhī dekhnā

jis ki KHatir main bhula baiTha tha apne aap ko

ab usi ke bhul jaane ka hunar bhi dekhna

vo ek shaḳhs ki manzil bhī rāstā bhī hai

vahī duā bhī vahī hāsil-e-duā bhī hai

wo ek shaKHs ki manzil bhi rasta bhi hai

wahi dua bhi wahi hasil-e-dua bhi hai

lagtā nahīñ ki us se marāsim bahāl hoñ

maiñ kyā karūñ ki thoḌā pāgal to maiñ bhī huuñ

lagta nahin ki us se marasim bahaal hon

main kya karun ki thoDa sa pagal to main bhi hun

ye kis azaab meñ us ne phañsā diyā mujh ko

ki us dhyān koī kaam karne detā nahīñ

ye kis azab mein us ne phansa diya mujh ko

ki us ka dhyan koi kaam karne deta nahin

gum huā jaatā hai koī manziloñ gard meñ

zindagī bhar masāfat rā.egāñ hone ko hai

gum hua jata hai koi manzilon ki gard mein

zindagi bhar ki masafat raegan hone ko hai

aa.e haiñ log raat dahlīz phāñd kar

un ke liye naved-e-sahar honī chāhiye

aae hain log raat ki dahliz phand kar

un ke liye nawed-e-sahar honi chahiye

diloñ se ḳhauf nikaltā nahīñ azāboñ

zamīñ ne oḌh liye sar par āsmāñ phir se

dilon se KHauf nikalta nahin azabon ka

zamin ne oDh liye sar par aasman phir se

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now