Sher of Athar Shah Khan Jaidi
bīviyāñ chaar haiñ aur phir bhī hasīnoñ se shaġhaf
bhaa.ī tū baiTh ke ārām se ghar-bār chalā
biwiyan chaar hain aur phir bhi hasinon se shaghaf
bhai tu baiTh ke aaram se ghar-bar chala
koī to DhūñD ke laa.e ki muntazim hai kahāñ
lifāfa gar nahīñ detā na de kirāya to de
koi to DhunD ke lae ki muntazim hai kahan
lifafa gar nahin deta na de kiraya to de
khiḌkiyoñ se nazar us kī haTtī nahīñ
merā beTā to bāliġh-nazar ho gayā
khiDkiyon se nazar us ki haTti nahin
mera beTa to baaligh-nazar ho gaya
vo sādgī meñ un ko do sāma.īn samjhā
bas āThvīñ ġhazal par munkir-nakīr bhāge
wo sadgi mein un ko do samain samjha
bas aaThwin ghazal par munkir-nakir bhage
hamāre deputy-commissioner ne chāñd dekhā hai
hameñ ḳhabar hai ki vo ġhair-zimme-dār nahīñ
hamare deputy-commissioner ne chand dekha hai
hamein KHabar hai ki wo ghair-zimme-dar nahin
laḌke kī amaañ ye bolīñ kaam kare us kī juutī
do bhaa.ī bhatta lete haiñ abbā ḳhair se Daaku haiñ
laDke ki aman ye bolin kaam kare us ki juti
do bhai bhatta lete hain abba KHair se Daku hain
ye bhī achchhā hai ki sahrā meñ banāyā hai makāñ
ab kirā.e pe yahāñ sāya-e-dīvār chalā
ye bhi achchha hai ki sahra mein banaya hai makan
ab kirae pe yahan saya-e-diwar chala
vo saas ab kitnī martaba martabān jhāñke
bahū to do din meñ khā ga.ī hai achār aadhā
wo sas ab kitni martaba martaban jhanke
bahu to do din mein kha gai hai achaar aadha
maiñ ne phūloñ kī aarzū kī thī
aañkh meñ motiyā utar āyā!!
main ne phulon ki aarzu ki thi
aankh mein motiya utar aaya!!
zarūr miTTī kā tel saaqī pilā gayā hai
jo puure sāġhar se ho rahā hai ḳhumār aadhā
zarur miTTi ka tel saqi pila gaya hai
jo pure saghar se ho raha hai KHumar aadha