Bhartendu Harishchandra
Ghazal 19
Sher-o-Shayari 20
aa jaa.e na dil aap kā bhī aur kisī par
dekho mirī jaañ aañkh laḌānā nahīñ achchhā
aa jae na dil aap ka bhi aur kisi par
dekho meri jaan aankh laDana nahin achchha
-
Share this
- See Ghazal
gulābī gaal par kuchh rañg mujh ko bhī jamāne do
manāne do mujhe bhī jān-e-man tyauhār holī meñ
gulabi gal par kuchh rang mujh ko bhi jamane do
manane do mujhe bhi jaan-e-man tyauhaar holi mein
-
Share this
- See Ghazal
na bosa lene dete haiñ na lagte haiñ gale mere
abhī kam-umr haiñ har baat par mujh se jhijakte haiñ
na bosa lene dete hain na lagte hain gale mere
abhi kam-umr hain har baat par mujh se jhijakte hain
-
Share this
- See Ghazal
ye chaar din ke tamāshe haiñ aah duniyā ke
rahā jahāñ meñ sikandar na aur na jam baaqī
ye chaar din ke tamashe hain aah duniya ke
raha jahan mein sikandar na aur na jam baqi
-
Share this
- See Ghazal
jahāñ dekho vahāñ maujūd merā kirshn pyārā hai
usī kā sab hai jalva jo jahāñ meñ āshkārā hai
jahan dekho wahan maujud mera kirshn pyara hai
usi ka sab hai jalwa jo jahan mein aashkara hai
-
Share this
- See Ghazal
Rubai 2
Image Shayari 2
dil aatish-e-hijraa.n se jalaanaa nahii.n achchhaa ai sho.ala-ruKHo aag lagaanaa nahii.n achchhaa kis gul ke tasavvur me.n hai ai laala jigar-KHuu.n ye daaG kaleje pe uThaanaa nahii.n achchhaa aayaa hai ayaadat ko masiihaa sar-e-baalii.n ai marg Thahar jaa abhii aanaa nahii.n achchhaa sone de shab-e-vasl-e-Gariibaa.n hai abhii se ai murG-e-sahar shor machaanaa nahii.n achchhaa tum jaate ho kyaa jaan mirii jaatii hai saahib ai jaan-e-jahaa.n aap kaa jaanaa nahii.n achchhaa aa jaa shab-e-furqat me.n qasam tum ko KHudaa kii ai maut bas ab der lagaanaa nahii.n achchhaa pahu.nchaa de sabaa kuucha-e-jaanaa.n me.n pas-e-marg ja.ngal me.n mirii KHaak u.Daanaa nahii.n achchhaa aa jaa.e na dil aap kaa bhii aur kisii par dekho mirii jaa.n aa.nkh la.Daanaa nahii.n achchhaa kar duu.ngaa abhii hashr bapaa dekhiyo jallaad dhabbaa ye mire KHuu.n kaa chhu.Daanaa nahii.n achchhaa ai faaKHta us sarv-e-sahii qad kaa huu.n shaidaa kuu-kuu kii sadaa mujh ko sunaanaa nahii.n achchhaa