Sher of Charagh Sharma
unhoñ ne apne mutābiq sazā sunā dī hai
hameñ sazā ke mutābiq bayān denā hai
unhon ne apne mutabiq saza suna di hai
hamein saza ke mutabiq bayan dena hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ab ke milī shikast mirī or se mujhe
jitvā diyā gayā kisī kamzor se mujhe
ab ke mili shikast meri or se mujhe
jitwa diya gaya kisi kamzor se mujhe
maiñ ne qubūl kar liyā chup chaap vo gulāb
jo shāḳh de rahī thī tirī or se mujhe
main ne qubul kar liya chup chap wo gulab
jo shaKH de rahi thi teri or se mujhe
tumheñ ye ġham hai ki ab chiTThiyāñ nahīñ ātīñ
hamārī socho hameñ hichkiyāñ nahīñ ātīñ
tumhein ye gham hai ki ab chiTThiyan nahin aatin
hamari socho hamein hichkiyan nahin aatin
ḳhatā.eñ is liye kartā huuñ maiñ ki jāntā huuñ
sazā mujhe hī milegī ḳhatā karūñ na karūñ
KHataen is liye karta hun main ki jaanta hun
saza mujhe hi milegi KHata karun na karun
vo shānt baiThā hai kab se maiñ shor kyoñ na karūñ
bas ek baar vo kah de ki chup to chuuñ na karūñ
wo shant baiTha hai kab se main shor kyon na karun
bas ek bar wo kah de ki chup to chun na karun
haath bhar duurī pe hai qismat kī chābī aap kī
ek chhoTā sā qadam aur kāmyābī aap kī
hath bhar duri pe hai qismat ki chabi aap ki
ek chhoTa sa qadam aur kaamyabi aap ki
'mīr' jī ishq maanā ki ne.amat nahīñ par maiñ is ko balā bhī nahīñ māntā
māntā huuñ ḳhudā-e-suḳhan bhī tumheñ aur hukm-e-ḳhudā bhī nahīñ māntā
'mir' ji ishq mana ki neamat nahin par main is ko bala bhi nahin manta
manta hun KHuda-e-suKHan bhi tumhein aur hukm-e-KHuda bhi nahin manta
-
Tag : Meer Taqi Meer
koī ḳhat-vat nahīñ phāḌā koī tohfa nahīñ toḌā
ki vo dekhe to ḳhud soche ki dil toḌā nahīñ toḌā
koi KHat-wat nahin phaDa koi tohfa nahin toDa
ki wo dekhe to KHud soche ki dil toDa nahin toDa