Sher of Dinesh Kumar
giilī miTTī hai shāyad jaḌ pakaḌ bhī leñ
maiñ āñkhoñ meñ sapne bonā chāhtā huuñ
gili miTTi hai shayad jaD pakaD bhi len
main aankhon mein sapne bona chahta hun
kar ke tārīf vo mirī jhūTī
zahr dhīmā chaTā gayā hai mujhe
kar ke tarif wo meri jhuTi
zahr dhima chaTa gaya hai mujhe
juḌā hī rahtā hai mamtā kī garbhnāl se vo
vajūd beTe kā maañ se judā nahīñ hotā
juDa hi rahta hai mamta ki garbhnal se wo
wajud beTe ka man se juda nahin hota
dekho to kaam ek bhī ham ne kahāñ kiyā
pūchho to ek pal kī bhī fursat nahīñ rahī
dekho to kaam ek bhi hum ne kahan kiya
puchho to ek pal ki bhi fursat nahin rahi
marāsim barf meñ dabne na paa.eñ
qarīb aao december aa rahā hai
marasim barf mein dabne na paen
qarib aao december aa raha hai
jhuuT bolā to bach ga.ī gardan
haq bayānī kā fā.eda kyā thā
jhuT bola to bach gai gardan
haq bayani ka faeda kya tha
añdherā shahr meñ be-ḳhauf raqs kartā rahā
charāġh saare havāoñ ke iḳhtiyār meñ the
andhera shahr mein be-KHauf raqs karta raha
charagh sare hawaon ke iKHtiyar mein the
dard-e-dil kī intihā thī zabt TuuTā aur phir
āñsuoñ kā rang merī shā.irī meñ aa gayā
dard-e-dil ki intiha thi zabt TuTa aur phir
aansuon ka rang meri shairi mein aa gaya
muqarrar kar rakhī hai maiñ ne apne āñsūon kī had
mire dukh-dard kā paikar mirā chehra nahīñ hotā
muqarrar kar rakhi hai main ne apne aansuon ki had
mere dukh-dard ka paikar mera chehra nahin hota
nanhe laboñ ne hañs ke jo paapā kahā mujhe
din bhar kī merī saarī thakāvaT utar ga.ī
nanhe labon ne hans ke jo papa kaha mujhe
din bhar ki meri sari thakawaT utar gai
marne se bhī gurez na mujh jaise rind ko
lekin ye ho ki mar ke mujhe mai-kada mile
marne se bhi gurez na mujh jaise rind ko
lekin ye ho ki mar ke mujhe mai-kada mile
shā.irī naam tasavvur meñ chhalaktī mai kā
mar hī jaate jo na piine kī ijāzat hotī
shairi nam tasawwur mein chhalakti mai ka
mar hi jate jo na pine ki ijazat hoti
jis kā naqsh-e-pā hī miil kā patthar hai
kuchh to ḳhūbī hogī us banjāre meñ
jis ka naqsh-e-pa hi mil ka patthar hai
kuchh to KHubi hogi us banjare mein
duniyā meñ misl-e-tāj nihāyat hasīñ thā vo
lekin vafā kā rang utarne se peshtar
duniya mein misl-e-taj nihayat hasin tha wo
lekin wafa ka rang utarne se peshtar
dekho daraḳht kāTne se pahle ek baar
in sabz Tahniyoñ pe koī ghoñsla na ho
dekho daraKHt kaTne se pahle ek bar
in sabz Tahniyon pe koi ghonsla na ho
mujh ko saphaltā baiThe biThā.e nahīñ milī
maiñ ne guhar talāshe haiñ dariyā khañgāl kar
mujh ko saphalta baiThe biThae nahin mili
main ne guhar talashe hain dariya khangal kar
haaT pe kyā biktā thā ham ko kyā matlab
apnī jeb meñ bas ḳhvāboñ ke sikke the
haT pe kya bikta tha hum ko kya matlab
apni jeb mein bas KHwabon ke sikke the
milegī āḳhirī ḳhāne meñ maut hī sab ko
bisāt-e-dahr pe paidal ho yā ho phir vo savār
milegi aaKHiri KHane mein maut hi sab ko
bisat-e-dahr pe paidal ho ya ho phir wo sawar
ḳhud-ba-ḳhud chal ke samundar hī qarīb aa.egā
ho agar pyāse to hargiz na ye sapnā dekho
KHud-ba-KHud chal ke samundar hi qarib aaega
ho agar pyase to hargiz na ye sapna dekho
maiñ to mar kar bhī jiyūñgā shaan se
maiñ ne ġhazloñ meñ utārī zindagī
main to mar kar bhi jiyunga shan se
main ne ghazlon mein utari zindagi
is ke majma.e kī koī siimā nahīñ
aadmī darshak madārī zindagī
is ke majmae ki koi sima nahin
aadmi darshak madari zindagi