Sher of Ehsan Darbhangavi
tum is taraf se guzar chukī ho magar galī gungunā rahī hai
tumhārī pāzeb kā vo naġhma fazā meñ ab tak khanak rahā hai
tum is taraf se guzar chuki ho magar gali gunguna rahi hai
tumhaari pazeb ka wo naghma faza mein ab tak khanak raha hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
baḌī mushkiloñ se kaaTā baḌe karb se guzārā
tire ba.ad koī lamha jo milā kabhī ḳhushī kā
baDi mushkilon se kaTa baDe karb se guzara
tere baad koi lamha jo mila kabhi KHushi ka
shauq ke mumkināt ko donoñ hī aazmā chuke
tum bhī fareb khā chuke ham bhī fareb khā chuke
shauq ke mumkinat ko donon hi aazma chuke
tum bhi fareb kha chuke hum bhi fareb kha chuke
shāyad abhī baaqī hai kuchh aag mohabbat kī
maazī kī chitāoñ se uThtā hai dhuāñ 'ehsāñ'
shayad abhi baqi hai kuchh aag mohabbat ki
mazi ki chitaon se uThta hai dhuan 'ehsan'
nazar aatī hai saarī kā.enāt-e-mai-kada raushan
ye kis ke sāġhar-e-rañgīñ se phūTī hai kiran saaqī
nazar aati hai sari kaenat-e-mai-kada raushan
ye kis ke saghar-e-rangin se phuTi hai kiran saqi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download