Sher of Faisal Qadri Gunnauri
har kisī shaḳhs ke muāfiq hai
aisā lagtā hai tū munāfiq hai
har kisi shaKHs ke muafiq hai
aisa lagta hai tu munafiq hai
kitnī be-rang zindagī hai mirī
'ishq ke rang yaar bhar do nā
kitni be-rang zindagi hai meri
'ishq ke rang yar bhar do na
tumhāre jaisā na dekhā koī mire hamdam
hasīn yuuñ to jahāñ meñ mujhe hazār mile
tumhaare jaisa na dekha koi mere hamdam
hasin yun to jahan mein mujhe hazar mile
kabhī ziyāda kabhī kam udaas rahtā huuñ
tumhārī yaad meñ har dam udaas rahtā huuñ
kabhi ziyaada kabhi kam udas rahta hun
tumhaari yaad mein har dam udas rahta hun
janm letī haiñ na.ī ḳhvāhisheñ jab bhī dil meñ
muflisī hai ki vahīñ haath pakaḌ letī hai
janm leti hain nai KHwahishen jab bhi dil mein
muflisi hai ki wahin hath pakaD leti hai
dil kā mire parinda tumhāre qafas meñ thā
jab tak tumhārā haath mirī dastaras meñ thā
dil ka mere parinda tumhaare qafas mein tha
jab tak tumhaara hath meri dastaras mein tha
tum jo chāho vo karte phirte ho
saarī pābandiyāñ hamī par haiñ
tum jo chaho wo karte phirte ho
sari pabandiyan hami par hain
terā ā.īna kah rahe haiñ mujhe
merī tasvīr dekhne vaale
tera aaina kah rahe hain mujhe
meri taswir dekhne wale
qīmat lagā rahe haiñ jo dīdār-e-yār kī
vāqif nahīñ haiñ vo abhī rāhoñ se pyaar kī
qimat laga rahe hain jo didar-e-yar ki
waqif nahin hain wo abhi rahon se pyar ki
us ne jab se haath pakaḌnā chhoḌ diyā
tab se ham ne saath meñ chalnā chhoḌ diyā
us ne jab se hath pakaDna chhoD diya
tab se hum ne sath mein chalna chhoD diya
hai in meñ kaisā jaadū boltī haiñ
tirī āñkheñ bhī urdu boltī haiñ
hai in mein kaisa jadu bolti hain
teri aankhen bhi urdu bolti hain
tumhāre jaisā na dekhā koī mire hamdam
hasīn yuuñ to jahāñ meñ mujhe hazār mile
tumhaare jaisa na dekha koi mere hamdam
hasin yun to jahan mein mujhe hazar mile
ek ham haiñ ki zaḳhm jhelte haiñ
ek vo haiñ ki dil se khelte haiñ
ek hum hain ki zaKHm jhelte hain
ek wo hain ki dil se khelte hain
uf sitamgar tirī adā.eñ bhī
yaad aatī haiñ dil jalātī haiñ
uf sitamgar teri adaen bhi
yaad aati hain dil jalati hain
kis kī ḳhushbū se mo'attar ye fazā hone lagī
gul-badan kaun ye guzrā hai galī se merī
kis ki KHushbu se mo'attar ye faza hone lagi
gul-badan kaun ye guzra hai gali se meri
jaane vaalā chalā gayā to kyoñ
us ke jaane kā ġham kiyā jaa.e
jaane wala chala gaya to kyon
us ke jaane ka gham kiya jae
jin ko apnā samajh rahe the ham
rang un ko badalte dekh liyā
jin ko apna samajh rahe the hum
rang un ko badalte dekh liya
tire karam se jo dāman hamāre bhar jaa.eñ
hasad kī aag meñ jal jal ke log mar jaa.eñ
tere karam se jo daman hamare bhar jaen
hasad ki aag mein jal jal ke log mar jaen
terī ḳhātir jo huī us har shahādat ko salām
sarzamīn-e-hind terī shān-o-shaukat ko salām
teri KHatir jo hui us har shahadat ko salam
sarzamin-e-hind teri shan-o-shaukat ko salam
ab zindagī se koī bhī shikva nahīñ mujhe
tū mil gayā to koī tamanna nahīñ mujhe
ab zindagi se koi bhi shikwa nahin mujhe
tu mil gaya to koi tamanna nahin mujhe
un kī hazār koshisheñ aur zid alag rahī
apnī to DeḌh iiñT kī masjid alag rahī
un ki hazar koshishen aur zid alag rahi
apni to DeDh inT ki masjid alag rahi
vo dekho log shiin alif 'ain re hue
ham 'ain shiin qaaf meñ uljhe hī rah ga.e
wo dekho log shin alif 'ain re hue
hum 'ain shin qaf mein uljhe hi rah gae
ham aise saare subūtoñ ko phaaḌ Dāleñge
hamāre biich meñ jo bhī darāḌ Dāleñge
hum aise sare subuton ko phaD Dalenge
hamare bich mein jo bhi daraD Dalenge
kisī tarah to hamārā visāl ho jaa.e
agarche is ke liye intiqāl ho jaa.e
kisi tarah to hamara visal ho jae
agarche is ke liye intiqal ho jae
saudā kabhī zamīr kā maiñ ne kiyā nahīñ
sad-shukr maiñ bhī 'ishq meñ tājir huā nahīñ
sauda kabhi zamir ka main ne kiya nahin
sad-shukr main bhi 'ishq mein tajir hua nahin
ye kaisā bojh hai bhārī hai dil par
'ajab sī kaifiyat taarī hai dil par
ye kaisa bojh hai bhaari hai dil par
'ajab si kaifiyat tari hai dil par
zindagī misl-e-kahkashāñ hotī
kaash merī bhī aaj maañ hotī
zindagi misl-e-kahkashan hoti
kash meri bhi aaj man hoti
tum jo chāho vo karte phirte ho
saarī pābandiyāñ hamī par haiñ
tum jo chaho wo karte phirte ho
sari pabandiyan hami par hain
TimTimāte the jo charāġh kabhī
ab vo qindīl hone vaale haiñ
TimTimate the jo charagh kabhi
ab wo qindil hone wale hain
jaane vaalā chalā gayā to kyoñ
us ke jaane kā ġham kiyā jaa.e
jaane wala chala gaya to kyon
us ke jaane ka gham kiya jae
jin ko apnā samajh rahe the ham
rang un ko badalte dekh liyā
jin ko apna samajh rahe the hum
rang un ko badalte dekh liya
TimTimāte the jo charāġh kabhī
ab vo qindīl hone vaale haiñ
TimTimate the jo charagh kabhi
ab wo qindil hone wale hain
tire karam se jo dāman hamāre bhar jaa.eñ
hasad kī aag meñ jal jal ke log mar jaa.eñ
tere karam se jo daman hamare bhar jaen
hasad ki aag mein jal jal ke log mar jaen
kaise use pata ho ki mamtā 'azīm hai
ham jaisā kam-sinī se jo bachcha yatīm hai
kaise use pata ho ki mamta 'azim hai
hum jaisa kam-sini se jo bachcha yatim hai
qīmat lagā rahe haiñ jo dīdār-e-yār kī
vāqif nahīñ haiñ vo abhī rāhoñ se pyaar kī
qimat laga rahe hain jo didar-e-yar ki
waqif nahin hain wo abhi rahon se pyar ki
zindagī misl-e-kahkashāñ hotī
kaash merī bhī aaj maañ hotī
zindagi misl-e-kahkashan hoti
kash meri bhi aaj man hoti
saudā kabhī zamīr kā maiñ ne kiyā nahīñ
sad-shukr maiñ bhī 'ishq meñ tājir huā nahīñ
sauda kabhi zamir ka main ne kiya nahin
sad-shukr main bhi 'ishq mein tajir hua nahin