Sher of Fakhruddin Khan Mahir
nahīñ hai ḳhuub sohbat har kisī kam-zarf se lekin
nahīñ gar mānte az-rāh-e-nādānī to behtar hai
nahin hai KHub sohbat har kisi kam-zarf se lekin
nahin gar mante az-rah-e-nadani to behtar hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dil ke badle vo shoḳh chalte vaqt
de gayā ham ko intizār apnā
dil ke badle wo shoKH chalte waqt
de gaya hum ko intizar apna
dil to be-tarah merā lag hī chalā thā us se
par maiñ juuñ tuuñ ke bachāyā ise ḳhuddārī se
dil to be-tarah mera lag hi chala tha us se
par main jun tun ke bachaya ise KHuddari se
ho umr darāz zaḳhm-e-dil kī
jis se dar-e-dil ko baaz paayā
ho umr daraaz zaKHm-e-dil ki
jis se dar-e-dil ko baz paya