Sher of Habeeb Ahmad Siddiqui
mere liye jiine kā sahārā hai abhī tak
vo ahd-e-tamannā ki tumheñ yaad na hogā
mere liye jine ka sahaara hai abhi tak
wo ahd-e-tamanna ki tumhein yaad na hoga
vo bhalā kaise batā.e ki ġham-e-hijr hai kyā
jis ko āġhosh-e-mohabbat kabhī hāsil na huā
wo bhala kaise batae ki gham-e-hijr hai kya
jis ko aaghosh-e-mohabbat kabhi hasil na hua
iz.hār-e-ġham kiyā thā ba-ummīd-e-iltifāt
kyā pūchhte ho kitnī nadāmat hai aaj tak
izhaar-e-gham kiya tha ba-ummid-e-iltifat
kya puchhte ho kitni nadamat hai aaj tak
mujh ko ehsās-e-rañg-o-bū na huā
yuuñ bhī aksar bahār aa.ī hai
mujh ko ehsas-e-rang-o-bu na hua
yun bhi aksar bahaar aai hai
hazāroñ tamannāoñ ke ḳhuuñ se ham ne
ḳharīdī hai ik tohmat-e-pārsā.ī
hazaron tamannaon ke KHun se hum ne
KHaridi hai ek tohmat-e-parsai
guloñ se itnī bhī vābastagī nahīñ achchhī
rahe ḳhayāl ki ahd-e-ḳhizāñ bhī aatā hai
gulon se itni bhi wabastagi nahin achchhi
rahe KHayal ki ahd-e-KHizan bhi aata hai
aap sharminda jafāoñ pe na hoñ
jin pe guzrī thī vahī bhuul ga.e
aap sharminda jafaon pe na hon
jin pe guzri thi wahi bhul gae
ab bahut duur nahīñ manzil-e-dost
ka.abe se chand qadam aur sahī
ab bahut dur nahin manzil-e-dost
kabe se chand qadam aur sahi
taslīm hai sa.ādat-e-hosh-o-ḳhirad magar
jiine ke vāste dil-e-nādāñ bhī chāhiye
taslim hai saadat-e-hosh-o-KHirad magar
jine ke waste dil-e-nadan bhi chahiye
kabhī be-kalī kabhī be-dilī hai ajiib ishq kī zindagī
kabhī ġhuncha pe jaañ fidā kabhī gulsitāñ se ġharaz nahīñ
kabhi be-kali kabhi be-dili hai ajib ishq ki zindagi
kabhi ghuncha pe jaan fida kabhi gulsitan se gharaz nahin
ra.anā.ī-e-bahār pe the sab farefta
afsos koī mahram-e-rāz-e-ḳhizāñ na thā
ranai-e-bahaar pe the sab farefta
afsos koi mahram-e-raaz-e-KHizan na tha
maut ke ba.ad bhī marne pe na raazī honā
yahī ehsās to sarmāya-e-dīñ hotā hai
maut ke baad bhi marne pe na raazi hona
yahi ehsas to sarmaya-e-din hota hai
apne dāman meñ ek taar nahīñ
aur saarī bahār baaqī hai
apne daman mein ek tar nahin
aur sari bahaar baqi hai
haa.e be-dād-e-mohabbat ki ye iiñ barbādī
ham ko ehsās-e-ziyāñ bhī to nahīñ hotā hai
hae be-dad-e-mohabbat ki ye in barbaadi
hum ko ehsas-e-ziyan bhi to nahin hota hai
yā dair hai yā ka.aba hai yā kū-e-butāñ hai
ai ishq tirī fitrat-e-āzād kahāñ hai
ya dair hai ya kaba hai ya ku-e-butan hai
ai ishq teri fitrat-e-azad kahan hai
āfiyat kī ummīd kyā ki abhī
dil-e-ummīd-vār baaqī hai
aafiyat ki ummid kya ki abhi
dil-e-ummid-war baqi hai
kitne sanam ḳhud ham ne tarāshe
zauq-e-parastish allāhu-akbar
kitne sanam KHud hum ne tarashe
zauq-e-parastish allahu-akbar
jo kaam karne haiñ us meñ na chāhiye tāḳhīr
kabhī payām ajal nā-gahāñ bhī aatā hai
jo kaam karne hain us mein na chahiye taKHir
kabhi payam ajal na-gahan bhi aata hai
har qadam par hai ehtisāb-e-amal
ik qayāmat pe inhisār nahīñ
har qadam par hai ehtisab-e-amal
ek qayamat pe inhisar nahin
ek ka.aba ke sanam toḌe to kyā
nasl-o-millat ke sanam-ḳhāne bahut
ek kaba ke sanam toDe to kya
nasl-o-millat ke sanam-KHane bahut
jab koī fitna-e-ayyām nahīñ hotā hai
zindagī kā baḌī mushkil se yaqīñ hotā hai
jab koi fitna-e-ayyam nahin hota hai
zindagi ka baDi mushkil se yaqin hota hai
jis ke vāste barsoñ sa.i-e-rā.egāñ kī hai
ab use bhulāne kī sa.i-e-rā.egāñ kar leñ
jis ke waste barson sai-e-raegan ki hai
ab use bhulane ki sai-e-raegan kar len
ba-sad adā-e-dilbarī hai iltijā-e-mai-kashī
ye hosh ab kise ki mai harām yā halāl hai
ba-sad ada-e-dilbari hai iltija-e-mai-kashi
ye hosh ab kise ki mai haram ya halal hai
hai naved-e-bahār har lab par
kam-nasīboñ ko e'tibār nahīñ
hai nawed-e-bahaar har lab par
kam-nasibon ko e'tibar nahin
āshnā jab tak na thā us kī nigāh-e-lutf se
vārdāt-e-qalb ko husn-e-bayāñ samjhā thā maiñ
aashna jab tak na tha us ki nigah-e-lutf se
wardat-e-qalb ko husn-e-bayan samjha tha main
vo karam ho ki sitam ek ta.alluq hai zarūr
koī to dard-e-mohabbat kā amiiñ hotā hai
wo karam ho ki sitam ek talluq hai zarur
koi to dard-e-mohabbat ka amin hota hai
faiz-e-ayyām-e-bahār ahl-e-qafas kyā jāneñ
chand tinke the nasheman ke jo ham tak pahuñche
faiz-e-ayyam-e-bahaar ahl-e-qafas kya jaanen
chand tinke the nasheman ke jo hum tak pahunche
nigāh-e-lutf ko ulfat-shi.ār samjhe the
zarā se ḳhanda-e-gul ko bahār samajhte the
nigah-e-lutf ko ulfat-shiar samjhe the
zara se KHanda-e-gul ko bahaar samajhte the
batā.e kaun kisī ko nishān-e-manzil-e-zīst
abhī to hujjat-e-bāham hai rahguzar ke liye
batae kaun kisi ko nishan-e-manzil-e-zist
abhi to hujjat-e-baham hai rahguzar ke liye
na ho kuchh aur to vo dil atā ho
bahal jaa.e jo sa.ī-e-rā.egāñ se
na ho kuchh aur to wo dil ata ho
bahal jae jo sai-e-raegan se
tag-o-tāz-e-paiham hai mīrās-e-ādam
mire muntazir kuchh jahāñ aur bhī haiñ
tag-o-taz-e-paiham hai miras-e-adam
mere muntazir kuchh jahan aur bhi hain
chashm-e-sayyād pe har lahza nazar rakhtā hai
haa.e vo said jo kahne ko tah-e-dām nahīñ
chashm-e-sayyaad pe har lahza nazar rakhta hai
hae wo said jo kahne ko tah-e-dam nahin
ik fasl-e-gul ko le ke tahī-dast kyā kareñ
aa.ī hai fasl-e-gul to garebāñ bhī chāhiye
ek fasl-e-gul ko le ke tahi-dast kya karen
aai hai fasl-e-gul to gareban bhi chahiye
ab to jo shai hai mirī nazroñ meñ hai nā-pā.edār
yaad aayā maiñ ki ġham ko jāvedāñ samjhā thā maiñ
ab to jo shai hai meri nazron mein hai na-paedar
yaad aaya main ki gham ko jawedan samjha tha main
ye mahr-o-māh-o-kavākib kī bazm-e-lā-mahdūd
salā-e-dāvat-e-parvāz hai bashar ke liye
ye mahr-o-mah-o-kawakib ki bazm-e-la-mahdud
sala-e-dawat-e-parwaz hai bashar ke liye