Sher of Hamida Shaheen
kaun badan se aage dekhe aurat ko
sab kī āñkheñ girvī haiñ is nagrī meñ
kaun badan se aage dekhe aurat ko
sab ki aankhen girwi hain is nagri mein
tire gītoñ kā matlab aur hai kuchh
hamārā dhun sarāsar muḳhtalif hai
tere giton ka matlab aur hai kuchh
hamara dhun sarasar muKHtalif hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sitāra hai koī gul hai ki dil hai
tirī Thokar meñ patthar muḳhtalif hai
sitara hai koi gul hai ki dil hai
teri Thokar mein patthar muKHtalif hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
fazā yūñhī to nahīñ malgajī huī jaatī
koī to ḳhāk-nashīñ hosh kho rahā hogā
faza yunhi to nahin malgaji hui jati
koi to KHak-nashin hosh kho raha hoga
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hijr kī talḳhī zahr banī hai mīThī bāteñ bhejo nā
ḳhud ko dekhe arsa guzrā apnī āñkheñ bhejo nā
hijr ki talKHi zahr bani hai miThi baaten bhejo na
KHud ko dekhe arsa guzra apni aankhen bhejo na
go ek aziyyat hai tirā rang-e-taġhāful
ye rang kisī aur pe sajtā bhī nahīñ ḳhair
go ek aziyyat hai tera rang-e-taghaful
ye rang kisi aur pe sajta bhi nahin KHair
mere dil kī shāḳh pe jānāñ
har mausam meñ tū khiltā hai
mere dil ki shaKH pe jaanan
har mausam mein tu khilta hai
balā kī tamkanat se ab siyāhī boltī hai
hamārī chup se shah pā kar tabāhī boltī hai
bala ki tamkanat se ab siyahi bolti hai
hamari chup se shah pa kar tabahi bolti hai