Sher of Haris Bilal
kāmyābī kī duā.eñ mujhe dene vaale
maiñ tire ishq meñ nākām huā jaatā huuñ
kaamyabi ki duaen mujhe dene wale
main tere ishq mein nakaam hua jata hun
falak pe bhiiḌ lagī thī shikasta aahoñ kī
duā se pahle mujhe rāsta banānā paḌā
falak pe bhiD lagi thi shikasta aahon ki
dua se pahle mujhe rasta banana paDa
tumhārī yaad kī shiddat meñ bahne vaalā ashk
zamīñ meñ bo diyā jaa.e to aañkh ug aa.e
tumhaari yaad ki shiddat mein bahne wala ashk
zamin mein bo diya jae to aankh ug aae
achchhā tirī nazar meñ bahut muḳhtalif huuñ maiñ
ya.anī tirī nazar meñ koī dūsrā bhī hai
achchha teri nazar mein bahut muKHtalif hun main
yani teri nazar mein koi dusra bhi hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo mujh ko dekhne mere qarīb aayā hai
ye dhund saare mahīnoñ meñ kyuuñ nahīñ paḌtī
wo mujh ko dekhne mere qarib aaya hai
ye dhund sare mahinon mein kyun nahin paDti
añdherī shab kā safar thā havā thī sahrā thā
diye ko maiñ ne bachāyā thā aur diye ne mujhe
andheri shab ka safar tha hawa thi sahra tha
diye ko main ne bachaya tha aur diye ne mujhe
pahle kī baat aur hai jab dil meñ the muqīm
ab tum ragoñ meñ dauḌte ho ḳhuun kī tarah
pahle ki baat aur hai jab dil mein the muqim
ab tum ragon mein dauDte ho KHun ki tarah
maiñ chaah kar bhī use kuchh na de sakā 'hāris'
vo bhaav pūchh ke merī dukāñ se lauT gayā
main chah kar bhi use kuchh na de saka 'haaris'
wo bhaw puchh ke meri dukan se lauT gaya
milī haiñ sūkhte dariyā ko bahr kī lahreñ
tire gilass meñ paanī piyā hai shahzādī
mili hain sukhte dariya ko bahr ki lahren
tere gilass mein pani piya hai shahzadi
ye rivāyat hai kitāboñ meñ utāre jaa.eñ
vo jo ḳhushbū ke safar meñ kahīñ maare jaa.eñ
ye riwayat hai kitabon mein utare jaen
wo jo KHushbu ke safar mein kahin mare jaen
vo añdherā hai ki bujhtī huī āñkheñ mujh se
pūchhtī haiñ ki vo aa.egā saverā hogā
wo andhera hai ki bujhti hui aankhen mujh se
puchhti hain ki wo aaega sawera hoga
ya.anī darvāza bhī ik ism hai jis ko paḌh kar
log dīvār ke andar se guzāre jaa.eñ
yani darwaza bhi ek ism hai jis ko paDh kar
log diwar ke andar se guzare jaen
saarī hisoñ kī Dor samā.at ko sauñp kar
is dil pe kaan rakh ki ḳhudā boltā bhī hai
sari hison ki Dor samaat ko saunp kar
is dil pe kan rakh ki KHuda bolta bhi hai
phir is ke ba.ad se muḌ kar bhī dekhtā huuñ maiñ
kisī kiran se milāyā thā aa.ine ne mujhe
phir is ke baad se muD kar bhi dekhta hun main
kisi kiran se milaya tha aaine ne mujhe
vo darmiyān se niklā to ye khulā mujh par
ki ho ga.e haiñ musallat ka.ī ḳhudā mujh par
wo darmiyan se nikla to ye khula mujh par
ki ho gae hain musallat kai KHuda mujh par
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download