Sher of Hosh Jaunpuri
ḳhudā badal na sakā aadmī ko aaj bhī 'hosh'
aur ab tak aadmī ne saikḌoñ ḳhudā badle
KHuda badal na saka aadmi ko aaj bhi 'hosh'
aur ab tak aadmi ne saikDon KHuda badle
dīvār un ke ghar kī mirī dhuup le ga.ī
ye baat bhūlne meñ zamāna lagā mujhe
diwar un ke ghar ki meri dhup le gai
ye baat bhulne mein zamana laga mujhe
miTTī meñ kitne phuul paḌe sūkhte rahe
rañgīn pattharoñ se bahaltā rahā huuñ maiñ
miTTi mein kitne phul paDe sukhte rahe
rangin pattharon se bahalta raha hun main
TuuT kar ruuh meñ shīshoñ kī tarah chubhte haiñ
phir bhī har aadmī ḳhvāboñ kā tamannā.ī hai
TuT kar ruh mein shishon ki tarah chubhte hain
phir bhi har aadmi KHwabon ka tamannai hai
zikr-e-aslāf se behtar hai ki ḳhāmosh raheñ
kal na.ī nasl meñ ham log bhī būḌhe hoñge
zikr-e-aslaf se behtar hai ki KHamosh rahen
kal nai nasl mein hum log bhi buDhe honge
Dūbne vaale ko sāhil se sadā.eñ mat do
vo to Dūbegā magar Dūbnā mushkil hogā
Dubne wale ko sahil se sadaen mat do
wo to Dubega magar Dubna mushkil hoga
kyā sitam karte haiñ miTTī ke khilaune vaale
raam ko rakkhe hue baiThe haiñ rāvan ke qarīb
kya sitam karte hain miTTi ke khilaune wale
ram ko rakkhe hue baiThe hain rawan ke qarib
ham bhī karte raheñ taqāzā roz
tum bhī kahte raho ki aaj nahīñ
hum bhi karte rahen taqaza roz
tum bhi kahte raho ki aaj nahin
aadmī pahle bhī nañgā thā magar jism talak
aaj to ruuh ko bhī ham ne barahna paayā
aadmi pahle bhi nanga tha magar jism talak
aaj to ruh ko bhi hum ne barahna paya
mere hī paañv mire sab se baḌe dushman haiñ
jab bhī uThte haiñ usī dar kī taraf jaate haiñ
mere hi panw mere sab se baDe dushman hain
jab bhi uThte hain usi dar ki taraf jate hain
jo saa.e bichhāte haiñ phal phuul luTāte haiñ
ab aise daraḳhtoñ ko insān kahā jaa.e
jo sae bichhate hain phal phul luTate hain
ab aise daraKHton ko insan kaha jae
bachche khulī fazā meñ kahāñ tak nikal ga.e
ham log ab bhī qaid isī bām-o-dar meñ haiñ
bachche khuli faza mein kahan tak nikal gae
hum log ab bhi qaid isi baam-o-dar mein hain
jo hādisa ki mere liye dardnāk thā
vo dūsroñ se sun ke fasāna lagā mujhe
jo hadisa ki mere liye dardnak tha
wo dusron se sun ke fasana laga mujhe
sāġhar nahīñ ki jhuum ke uTThe uThā liyā
ye zindagī kā bojh hai mil kar uThā.iye
saghar nahin ki jhum ke uTThe uTha liya
ye zindagi ka bojh hai mil kar uThaiye
kho ga.ī jā ke nazar yuuñ ruḳh-e-raushan ke qarīb
jaise kho jaatī hai beva koī dulhan ke qarīb
kho gai ja ke nazar yun ruKH-e-raushan ke qarib
jaise kho jati hai bewa koi dulhan ke qarib
jaane kis kis kā galā kaTtā pas-e-parda-e-ishq
khul ga.e merī shahādat meñ sitamgar kitne
jaane kis kis ka gala kaTta pas-e-parda-e-ishq
khul gae meri shahadat mein sitamgar kitne
gir bhī jaatī nahīñ kam-baḳht ki fursat ho jaa.e
kauñdtī rahtī hai bijlī mire ḳhirman ke qarīb
gir bhi jati nahin kam-baKHt ki fursat ho jae
kaundti rahti hai bijli mere KHirman ke qarib
aane vaale daur meñ jo pā.egā paiġhambarī
merā chehra merā dil merī zabāñ le jā.egā
aane wale daur mein jo paega paighambari
mera chehra mera dil meri zaban le jaega