Sher of Iftikhar Haidar
shaam hote hī tere hijr kā dukh
dil meñ ḳhema lagā ke baiTh gayā
sham hote hi tere hijr ka dukh
dil mein KHema laga ke baiTh gaya
shahr meñ thī nā-sāz tabī.at beTe kī
gaañv meñ baiThī maañ ne khānā chhoḌ diyā
shahr mein thi na-saz tabiat beTe ki
ganw mein baiThi man ne khana chhoD diya
apne lahje pe ġhaur kar ke batā
lafz kitne haiñ tiir kitne haiñ
apne lahje pe ghaur kar ke bata
lafz kitne hain tir kitne hain
tire baġhair guzārā nahīñ kisī sūrat
use ye baat batāne se baat bigḌī hai
tere baghair guzara nahin kisi surat
use ye baat batane se baat bigDi hai
miir ke kuchh ash.ār milā kar rāshid kī kuchh nazmoñ meñ
vahshat kī āmezish kar ke ik uslūb banānā hai
mir ke kuchh ashaar mila kar rashid ki kuchh nazmon mein
wahshat ki aamezish kar ke ek uslub banana hai
tab mirī aas TuuT jaatī hai
jab mirī aas log hote haiñ
tab meri aas TuT jati hai
jab meri aas log hote hain
tere qadmoñ meñ aa ke girnā hai
jis bulandī pe bhī uchhāl mujhe
tere qadmon mein aa ke girna hai
jis bulandi pe bhi uchhaal mujhe
be-ḳhatā hai tū phir bhī Dar ai dost
be-ḳhatā hī na dhar liyā jaa.e
be-KHata hai tu phir bhi Dar ai dost
be-KHata hi na dhar liya jae
bijlī ga.ī to vo bhī hamāre makān kī
bijlī girī to vo bhī hamāre makān par
bijli gai to wo bhi hamare makan ki
bijli giri to wo bhi hamare makan par
ajiib dard sā us lamha-e-visāl meñ thā
ki zaḳhm se bhī baḌā karb indimāl meñ thā
ajib dard sa us lamha-e-visal mein tha
ki zaKHm se bhi baDa karb indimal mein tha
siiTī kī āvāz sunī aur saarā maazī lauT aayā
pas-manzar meñ rail nahīñ hai puurā ek afsāna hai
siTi ki aawaz suni aur sara mazi lauT aaya
pas-manzar mein rail nahin hai pura ek afsana hai
ye jo tum maut se Darāte ho
zindagī sab kā mas.ala nahīñ hai
ye jo tum maut se Daraate ho
zindagi sab ka masala nahin hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sau tarah ke vabāl haiñ lekin
phir bhī zinda haiñ ān-bān ke saath
sau tarah ke wabaal hain lekin
phir bhi zinda hain aan-ban ke sath
ham zamāna-shanās the phir bhī
dāstāñ-go pe e'tibār kiyā
hum zamana-shanas the phir bhi
dastan-go pe e'tibar kiya
jitnī fursat hai zindagī meñ nasīb
utnī fursat meñ maiñ se tū ho jā
jitni fursat hai zindagi mein nasib
utni fursat mein main se tu ho ja
umīdeñ bāñdh rakkhī haiñ tire lutf-o-karam se
siyah-a.amāl huuñ to goshvāra kaun dekhe
umiden bandh rakkhi hain tere lutf-o-karam se
siyah-amal hun to goshwara kaun dekhe
saañs taaza havā ke chakkar meñ
saarā gard-o-ġhubār khīñchtī hai
sans taza hawa ke chakkar mein
sara gard-o-ghubar khinchti hai
aisoñ vaisoñ ke qasīde nahīñ likkhe jaate
sher likh letā huuñ sehre nahīñ likkhe jaate
aison waison ke qaside nahin likkhe jate
sher likh leta hun sehre nahin likkhe jate